040. Iblees aaj tak hamare darmiyaan zindah hai
Iblees aaj tak hamare darmiyaan zindah hai
[Sawaal]
Kia Iblees —— لَعَنَهُ الله—— ab tak zindah hai ya mar gaya hai? Kia jin bhi apne murdon ko insaanon ki tarah dafan karte hain?
[Jawab]
Allah Ta’ala ne farmaaya hai ke Iblees ne mohlat talab ki jo us se de di gai jaisa ke hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala mein hai ke:
قَالَ رَبِّ فَاَنۡظِرۡنِىۡۤ اِلٰى يَوۡمِ يُبۡعَثُوۡنَ قَالَ فَاِنَّكَ مِنَ الۡمُنۡظَرِيۡنَ
(Al-Hijir 1536-37)
“Iblees ne kaha Ae mere Parwardigaar mujhe us roz tak ke jab log uthaae jaaein’ Mohlat de. Allah Ta’ala ne farmaaya ke tujh ko mohalat di jaati hai.”
Chunaanche woh is Youm-e-ma’loom tak zindah hai, Jis mein Allah Ta’ala ne uski halaakat ka hukm diya hai aur woh duniya mein sab se aakhir mein marne waala ho ga. Jin aise arwaah hain jo jismon se beniyaaz hain, Woh Faut to hote hain lekin unki tadfeen un ke hasb-e-haal hoti hai, hamein un ki sooraton ki kefiyat aur un ki mout-o-tadfeen ki haalat ka i’lm nahi hai kyunke un ka ta’lluq Jans-e-bashar se nahi hai. Wallahu A’alam.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…