Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

069. ‘Aurat qabron ki ziyaarat na kare

‘Aurat qabron ki ziyaarat na kare

[Sawaal]

‘Aurat ke liye qabron ki ziyaarat ka Kia hukm hai?

[Jawab]

‘Aurton ke liye qabron ki ziyaarat jaaiz nahi hai kyunke Rasoolullah (ﷺ) ne qabron ki ziyaarat karne waali ‘Aurton par la’nat farmaai hai, Is liye bhi ke ‘Aurtein fitna mein jald mubtala ho jaati hain aur un mein sabar kam hota hai. lehaaza un par yeh Allah Ta’ala ki rehmat aur us ka ehsaan hai ke un ke liye qabron ki ziyaarat ko Haraam qaraar de diya taakeh na khud fitna mein mubtala hon aur na doosron ko fitna mein mubtala karen. Allah Ta’ala hum sab ke haal ki islaah farmaae! Ameen!!

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents