Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

075. Qabr par likhna

Qabr par likhna

[Sawaal]

Kia qabr par lohe ki plate ya pathar waghaira ki lauh rakhna aur is par Aayat-e-Qur’ani ke saath saath mayyat ka naam aur tareekh-e-wafaat likhna jaaiz hai?

[Jawab]

:

Mayyat ki qabr par likhna jaaiz nahi khuwaah Qur’ani Aayaat hon ya kuch aur ho, Lohe ki plate par likhna jaaiz hai na lakdi ya pathar ki takhti ya kisi aur cheez par kyunke Hazrat Jaabir رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne mana’ farmaaya ke:

نَهَى أَنْ تُجَصَّصَ الْغَبْرُ، وَأَنْ يُقْعَدَ عَلَيْهِ وَأَنْ يُبْنَى عَلَيْهِ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Janaaiz, Baab Al-Nahi ‘an Tajsees Al-qabr-o-Al-Bina ‘illaihi, H: 970)

“Qabr ko pukhta na banaaya jaae, Us par betha jaae aur us par ‘imaarat banaai jaae.”

Aur ek riwaayat mein yeh alfaaz bhi marwi hain ke Aap (ﷺ) ne us se bhi mana’ farmaaya ke:

وَأَنْ يُكْتَبَ عَلَيْهِ

(Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Janaaiz, Baab maa jaa fi karaahiyat tajsees Al-Qaboor-o-Al-Kitaabat ‘ilaiha, H: 1052)

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents