088. Awaam-ul-Naas ki zabaanon Par ba’az mashoor kalimaat
Awaam-ul-Naas ki zabaanon Par ba’az mashoor kalimaat
[Sawaal]
Hum ne ba’az kalimaat awaam ki zabaan se sune hain aur khadsha hai ke kahen un mein shirk saraayat na kar gaya ho. Yeh kalimaat is tarah ke hain ke (مَا صَدَّقْتُ عَلَی اللہ) Main Allah Ta’ala ki tasdeeq nahi karta ———. Ya (اللهُ لَا يَقُولُهُ)Allah Ta’ala aisa na kahe ———- waghaira’ To is tarah ke kalimaat iste’maal karne ke baare mein aap ki Kia raae hai?
(Jazakum Allahu Khairan)
[Jawab]
Is tarah ke kalimaat qasad-o-iraadah ke baghair awaam-ul-naas ki zabaan par aa jaate hain aur woh is tarah ke kalimaat iste’maal karne se kisi Haraam baat ka e’itqaad nahi rakhte. Chotte bachhe’ Badon se is tarah ke kalimaat seekh lete hain lekin un kalimaat ke maa’ini zaroor qaabil-e-e’itraaz hain lehaaza unhein bilkul iste’maal nahi karna chaahiye kyunke pehle jumla mein Allah Ta’ala ki tasdeeq ki nafi hai jab ke momin Allah Ta’ala ki bhi tasdeeq karta hai aur un tamaam baaton ki bhi jin ki Allah Ta’ala ne khabar di hai lehaaza is ke bajaae yoon kehna chaahiye ke “Agar yeh ho gaya ya woh aa gaya to mein sacha nahi hoon ga” Aur is ka matlab yeh ho ga ke us cheez ke husool mein mein jhoota ho sakta hoon taa anka woh haasil ho jaae.
Isi tarah doosre jumla mein goya Allah Ta’ala ki Zaat-e-Giraami ko paaband karta hai ke woh is tarah na kahe goya ke woh waq’u ki nafi muraad lete hain, Yaane umeed hai ke Allah Ta’ala iss se waq’u pazeer na kare ya woh is tarah wajood mein na aae. Is liye yeh kehna ke “قدر الله” (Allah aisa na kare) is mein bhi khatarnaaki ka pehlu hai. Agar us ki jagah woh Allah se dua’a kare ke woh us ko waqiy’e kare aur na us se paida kare’ To ziyaada mohtaat aur mehfooz baat hai.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…