095. Ahkaam-e-Shari’yat par kisi ko e’itraaz ka haqq nahi hai
Ahkaam-e-Shari’yat par kisi ko e’itraaz ka haqq nahi hai
[Sawaal]
Ek shakhs yeh kehta hai ke ba’az ahkaam-e-shariy’at nazar-e-saani ke mohtaaj hain aur zaroorat hai ke un mein munaasib tabdeeli kar di jaae kyunke woh ‘Asar-e-haazir ke taqaazon se ham aahang nahi hain. Misaal ke taur par woh meeraas ka ek usool bayaan karta hai jis mein yeh hukm hai ke aadmi ko do ‘Aurton ke baraabar hissa diya jaae. Is tarah ke shakhs ke baare mein hukm-e-shariy’at Kia hai?
[Jawab]
Woh ahkaam-e-shariy’at jinhein Allah Ta’ala ne apne bandon ke liye apni Kitaab-e-Kareem ya apne Rasool-e-Ameen (ﷺ) ki zubaani bayaan farmaaya maslan ahkaam-e-meeraas Namaz-e-panjgaana, Zakaat aur roza waghaira jinhein Allah Ta’ala ne apne bandon ke liye waazeh farma diya hai, Us par saari Ummat ka ijma’a hai ke kisi ko un par e’itraaz karne aur un ko badalney ka haqq haasil nahi hai kyunke shariy’at ke yeh muhakkim ahkaam jis tarah Nabi Kareem (ﷺ) ke zamaane mein the, Aap ke ba’d Qayaamat tak yeh Isi tarah rahen ge. Inhi mehkam-e-ahkaam mein se ek hukm yeh hai ke mard ko ‘Aurat par fazeelat di gai hai. Allah Subhaan-o-Ta’ala ne apni Kitaab-e-Kareem mein iss se waazeh taur par bayaan farmaaya aur tamaam ‘Ulama-e-Islam ka is baat par ijma’a hai lehaaza e’itqaad-o-Imaan ke saath us par ‘amal karna waajib hai aur jo shakhs yeh gumaan kare ke is hukm-e-Ilaahi ki bajaae koi aur hukm ziyaada mauzoon hai to woh kaafir hai aur jo shakhs hukm-e-Ilaahi ki mukhaalifat ko jaaiz qaraar de woh bhi kaafir hai kyunke woh Allah Subhaan-o-Ta’ala’ Rasoolullah (ﷺ) aur ijma’a-e-Ummat par mu’atariz hai. Agar yeh mu’atariz musalmaan hai to haakim-e-waqt par farz hai ke us se tawbah karwaae agar woh shakhs tawbah kar le to behtar-o-garna kaafir hone aur Islam se murtid hone ki wajah se us se qatal karna waajib ho jaae ga kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad-e-Giraami hai:
مَنْ بَدَّلَ دِينَهُ فَاقْتُلُوهُ
“Jo shakhs apne Deen ko badal le to us se qatal kar do.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Jihaad-o-Al-Seer, Baab laa Y’azab bi’azaab Allah, H: 3017, Abu Dawood Raqam: 4351,-O-Ibn-e-Maaja fi Al-Sunan, Raqam: 2535,-o-Masnad Ahmad (1 282)
Hum apne liye aur tamaam musalmaanon ke liye dua’a karte hain ke woh sab ko gumraah kin fitnon aur shariy’at-e-mutaahara ki mukhaalifat se mehfooz rakhe.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…