Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

099. Nafsiyaati bemaariyon ka ta’weezon se ‘ilaaj nahi karna chaahiye

Nafsiyaati bemaariyon ka ta’weezon se ‘ilaaj nahi karna chaahiye

[Sawaal]

Nafsiyaati maariyon ke ‘ilaaj ke liye lya ta’weez iste’maal karna jaaiz hai?

[Jawab]

Ta’weez iste’maal karna jaaiz nahi kyunke Hadees mein is ki Mumaani’at aai hai haan albatta Qur’an-e-Majeed’ Du’aon aur azkaar-e-maasoorah (Ahadees mein mazkoora wazaaif) ke saath dam karna jaaiz hai, Nez nifsiyaati bemaariyon ke ‘ilaaj ke liye kasrat-e-zikr , Am’aal-e-Saaliha , Shaitaan se ista’azah aur gunaahon aur gunaah gaaron se doori ikhtiyaar karna chaahiye. Yeh tamaam umoor mujjib-e-Raahat hon ge aur un se tamaaninat-o-hayaat-e-sa’eedah haasil ho gi.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents