Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

136. Wafaat ke ba’d Nabi Kareem (ﷺ) ko pukaarna aur aap se madad maangna Shirk-e-Akbar hai

Wafaat ke ba’d Nabi Kareem (ﷺ) ko pukaarna aur aap se madad maangna Shirk-e-Akbar hai

[Sawaal]

Kia Nabi Kareem (ﷺ) ko kisi haajat ke liye pukaarna ya ‘aalaam-o-masaaib mein aap se madad maangna Aap ki qabr-e-shareef ke paas ya door se pukaarna shirk-e-qabeeh hai ya nahi?

[Jawab]

Qareeb ya door se Nabi Kareem (ﷺ) ki wafaat ke ba’d aap ko pukaarna aap se faryaad karna aur haajaton ke poora karne aur mushkilaat ke azaala ke liye aap se madad talab karna Shirk-e-Akbar hai, Jis se insaan daaira-e-Islam se khaarij ho jaata hai, Khuwaah koi aap ki qabr shareef ke paas se aap ko pukaare ya door se maslan yoon kahe ke: “Ya Rasoolullah mujhe shifa ‘ataa farma dijiye.” Ya mere ghaib ko waapas louta dijiye waghaira to yeh shirk hai.

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents