139. Kia Nabi (ﷺ) Noor min Noor Allah the?
Kia Nabi (ﷺ) Noor min Noor Allah the?
[Sawaal]
Kia Hazrat Muhammad (ﷺ) ka Noor Allah ke Noor mein se tha ya kisi aur Noor se tha?
[Jawab]
Nabi Kareem (ﷺ) ko jo Noor haasil tha us se muraad Noor-e-Risaalat-o-Hidaayat hai, Us Noor se Allah Ta’ala ne apne jin bandon ki aankhon ko chaaha hidaayat se Sarfaraaz farma diya aur be shak Noor-e-Risaalat-o-Hidaayat Allah Ta’ala ka ‘ataa karda hota hai.
Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:
وَمَا كَانَ لِبَشَرٍ أَن يُكَلِّمَهُ اللَّهُ إِلَّا وَحْيَا أَوْ مِن وَرَايِ حِجَابٍ أَوْ يُرْسِلَ رَسُولًا فَيُوحِيَ بِإِذْنِهِ مَا يَشَاءُ إِنَّهُ عَلَى حَكِيمُ وَكَذَلِكَ أَوْحَيْنَا إِلَيْكَ رُوحًا مِنْ أَمْرِنَا مَا كُنتَ تَدْرِي مَا الْكِتَبُ وَلَا الْإِيمَانُ
>
وَلَكِن جَعَلْتَهُ نُورًا تَهْدِي بِهِ مَن نَّشَاءُ مِنْ عِبَادِنَا وَإِنَّكَ لَتَهْدِي إِلَى صِرَاطٍ مُّسْتَقِيمٍ صِرَاطِ اللَّهِ الَّذِي لَهُ مَا فِي السَّمَوَاتِ وَمَا فِي الْأَرْضِ أَلَا إِلَى اللَّهِ تَصِيرُ الأُمور
(Al-Sha’ura 42 51 – 53)
“Aur kisi aadmi ke liye mumkin nahi ke Allah us se baat kare magar ilhaam (ke zariy’e) se ya parde ke peeche se ya koi farishta bhej de to woh Allah ke hukm se jo Allah chaahe ilqa kare. Beshak woh ‘aali martaba (Aur) hikmat waala hai aur Isi tarah hum ne apne hukm se tumhari taraf Rooh-ul-Qadoos ke zariy’e se (Qur’an) bheja hai, Aap na to kitaab ko jaante the aur na Imaan ko lekin hum ne us ko Noor banaaya hai ke is se hum apne bandon mein se jis ko chaahte hain hidaayat karte hain aur beshak (Ae Muhammad (ﷺ !) Tum seedha raasta dikhaate ho (Yaane) Allah ka raasta jo aasmaanon aur zameen ki sab cheezon ka maalik hai dekho! Sab kaam Allah ki taraf loutein ge aur wahi un mein faisla kare ga.”
Rasoolullah (ﷺ) ko yeh Noor-e-hidaayat Allah Ta’ala ki taraf se ‘ataa hoa hai, Aap ne is ka iktisaab khaatim-ul-Auliya se nahi kiya jaisa ke ba’az mulhid log yeh gumaan karte hain baaqi raha aap ka jism mubarak to woh khoon Gosht aur hadiyon hi se bana hoa tha, Qanoon-e-fitrat ke mutaabiq apne maa baap ke ghar aap ki wilaadat baasa’adat hoi, Wilaadat baasa’adat se qabl aap ki takhleeq nahi hoi aur jo yeh riwaayat kiya jaata hai ke Allah Ta’ala ne sab se pehle apne Nabi Hazrat Muhammad (ﷺ) ke Noor ko paida farmaaya’ Ya jo yeh bayaan kiya jaata hai ke Allah Ta’ala ne apne chehrah ke Noor se ek muthi pakdi aur farmaaya yeh muthi bhar Noor Muhammad (ﷺ) hain, Phir Allah Ta’ala ne us muthi ki taraf dekha to us se qatre girne lag gae aur us har qatre se Allah Ta’ala ne ek Nabi paida farmaaya ya tamaam makhlooq ko Allah Ta’ala ne Noor-e-Muhammadi se paida kiya to yeh riwaayat Nabi (ﷺ) se qat’an saabit nahi hain. Mazeed tafseel ke liye mulaahiza farmaaiye: “Majm’oo Al-Fatawa Laaban Taymiyyah رحمة الله Jild 18 safha 366 aur ba’d ke safhaat.
وصلی اللہ علی نبینا محمد و آله و صحبه وسلم
__Fatwa-e-Comnity__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…