Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

148. Kia Hazrat ‘Isaa [عليه السلام]{dir=”rtl”} zindah hain ya murdah? Aur ab woh kaha hain?

Kia Hazrat ‘Isaa [عليه السلام]{dir=”rtl”} zindah hain ya murdah? Aur ab woh kaha hain?

[Sawaal]

Kia Hazrat ‘Isaa-Bin-Maryam عليه السلام zindah hain ya murdah? zindah ya murdah hain to is waqt kahan hain? Kitaab-o-Sunnat se is ki Kia daleel hai?

[Jawab]

Hazrat ‘Isaa-Bin-Maryam عليه السلام zindah hain aur ab tak Faut nahi hue’ Yahoodiyon ne aap ko qatal kiya na phaansi di balkeh un ko un ki si soorat ma’loom hoi aur Allah Ta’ala ne unhein badan-o-rooh samait aasmaanon par zindah utha liya tha aur ab woh aasmaanon hi mein hain, Is ki daleel hasb-e-zail Irshaad-e-Baari Ta’ala hai, Jo Yahoodiyon ki iftara pardaaziyon ke jawaab mein hai ke:

فَبِمَا نَقْضِهِم مِيثَقَهُمْ وَكُفْرِهِم بِتَايَتِ اللَّهِ وَقَتْلِهِمُ الْأَنْبِيَاءَ بِغَيْرِ حَقٌّ وَقَوْلِهِمْ قُلُوبُنَا غُلْفٌ بَلْ طَبَعَ اللهُ عَلَيْهَا بِكُفْرِهِمْ فَلَا يُؤْمِنُونَ إِلَّا قَلِيلًا وَبِكُفْرِهِمْ وَقَوْلِهِمْ عَلَى مَرْيَمَ بُهْتَانًا عَظِيمًا ) وَقَوْلِهِمْ إِنَّا قَتَلْنَا الْمَسِيحَ عِيسَى ابْنَ مَرْيَمَ رَسُولَ اللَّهِ وَمَا قَتَلُوهُ وَمَا صَلَبُوهُ وَلَكِن شُبِّهَ هُمْ وَإِنَّ الَّذِينَ اخْتَلَفُوا فِيهِ لَفِي شَكٍّ مِّنْهُ مَا لَهُم بِهِ مِنْ عِلْمٍ إِلَّا الْبَاعَ الظَّنَّ وَمَا قَتَلُوهُ يَقِينَا بَل رَفَعَهُ اللَّهُ إِلَيْهِ وَكَانَ اللهُ عَزِيزًا حَكِيمًا

(Al-Nisaa 4 155 -158)

“(Lekin unhon ne ‘ehd ko tod daala) To un ke ‘ehd tod dene aur Allah ki Aayaton se kufur karne aur Ambiya ko naahaq maar daalne aur yeh kehne ki wajah se ke hamare dilon par pardah pada hoa hai (nahi) balkeh un ke kufur ki wajah se Allah ne un ke dilon par meher laga di hai so chand aadmiyon ke siwa koi Imaan nahi laata aur un ke inkaar karne aur Maryam par bohtan-e-‘Azeem baandhne aur yeh kehne ke sabab ke hum ne Maryam ke bete ‘Isaa-e-Maseeh ko jo Allah ke paighambar (kehlaate) the qatal kar diya hai (Allah ne un ko mal’oon kar diya) aur unhon ne ‘Isaa ko qatal nahi kiya aur na unhein sooli par chadhaaya balkeh un ko un ki si soorat ma’loom hoi aur jo log un ke baare mein ikhtilaaf karte hain woh un ke haal se shak mein pade hue hain aur pairwi-e-zan ke siwa un ko us ka matlaq-e-‘ilm nahi aur unhon ne ‘Isaa ko yaqeenan qatal nahi kiya balkeh Allah Ta’ala ne un ko apni taraf utha liya aur Allah ghaalib (Aur) hikmat waala hai.”

In Aayat mein Allah Ta’ala ne Yahoodiyon ki tardeed karte hue farmaaya ke unhon ne Hazrat ‘Isaa ko qatal kiya na sooli chadhaaya balkeh Allah Ta’ala ne unhein aasmaanon par zindah utha liya tha yeh Allah Ta’ala ki taraf se un par rehmat aur un ki ‘izzat afzaai thi taakeh woh Allah Ta’ala ki un nishaaniyon mein se ek nishaani ban jaaein jis se Allah Ta’ala apne Rasoolon mein se jis se chaahta hai ‘ataa farma deta hai. Hazrat ‘Isaa-Bin-Maryam naam ka wajood Awwal se aakhir tak sarapa Aayat-e-Ilaahi hai aur Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

بَلْ رَفَعَهُ الله اليه

“Balkeh Allah ne un ko apni taraf utha liya”

Mein “Izraab” ka taqaaza hai ke Allah Subhaan-o-Ta’ala ne Hazrat ‘Isaa علیہ السلام ko badan bam’a rooh ke upar utha liya taakeh Yahoodiyon ke is gumaan ki tardeed ho sake ke unhon ne Hazrat ‘Isaa ko sooli par chadhaaya aur qatal kiya hai kyunke qatal-o-salab to asal mein badan hi ke liye hota hai aur agar sirf rooh hi ko uthaaya gaya hota to yeh un ke da’we-e-qatal-o-salab ke manaafi na hota. Mehez rooh ke raf’a se Yahoodiyon ke bohtan ki tardeed na ho sakti thi kyunke ‘Isaa علیہ السلام jism-o-rooh dono se ta’beer hain, Un mein se kisi ek par baghair qareena ke Hazrat ‘Isaa ka itlaaq nahi ho sakta aur yahan koi qareena nahi hai aur phir rooh-o-badan samait uthaana hi Allah Ta’ala ke kamaal-e-‘izzat , Hikmat-o-takreem aur Nusrat-o-ta’eed ka taqaaza hai jaisa ke is Aayat ke ikhtitaam par in alfaaz

وَكَانَ اللهَ عَزِيزًا حَكِيمًا

ka bhi yehi taqaaza hai.

Hazrat ‘Isaa علیہ السلام aakhir zamaana mein nazil hon ge

[Sawaal]

Agar Hazrat ‘Isaa علیہ السلام zindah hain to Kia woh aakhri zamaana mein nazil hon ge, Logon ke darmiyaan faisle karen ge aur Rasoolullah (ﷺ) ke Deen ki pairwi karen ge? Is ki daleel Kia hai? Aur jo shakhs yeh da’wa kare ke Hazrat ‘Isaa علیہ السلام aakhir zamaana mein har giz naazil nahi hon ge aur na logon mein faisle karen ge to hum is ki tarheed kis tarah karen?

[Jawab]

Haan! Allah ke Nabi Hazrat ‘Isaa علیہ السلام aakhir zamaana mein naazil hon ge, Logon mein ‘adal ke saath faisle karen ge aur is silsila mein hamare Nabi Hazrat Muhammad (ﷺ) ki shariy’at ki pairwi karen ge, Saleeb ko tod dein ge, Khinzeer ko qatal karen ge, Jazya khatam kar dein ge aur sirf Islam hi qubool karein ge aur un ke nuzool ke ba’d wafaat se pehle tamaam Ahl-e-kitaab (Yahood-o-Nasaara) Imaan le aaein ge.

Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

وَإِن مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ إِلَّا لَيُؤْمِنَنَّ بِهِ قَبْلَ مَوْنِهِ، وَيَوْمَ الْقِيَامَةِ يَكُونُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا

(Al-Nisaa 4 159)

“Aur Ahl-e-kitaab sab ke sab Maseeh par us ki mout se pehle zaroor Imaan laaein ge aur Qayaamat ke din woh un par gawaah hon ge.”

Is Aayat mein Allah Ta’ala ne yeh khabar di hai ke tamaam Ahl-e-kitaab (Yahood-o-Nasaara) Hazrat ‘Isaa-Bin-Maryam عليه السلام ki wafaat se pehle un par Imaan laaein ge aur yeh us waqt ki baat hai jab woh aakhir zamaana mein Haakim-o-‘Aadil aur daa’i-e-Islam ki haisiyat se naazil hon ge, Jaisa ke us ka zikr is Hadees mein aae ga jo un ke nuzool par dalaalat karti hai.

Is Aayat ke yehi mutay’een ma’ani hain, Yeh Aayat Hazrat ‘Isaa عليه السلام ke baare mein Yahoodiyon ke muwaafiq aur un ke saath tareeqa-e-‘amal ke silsila mein hai, Nez is mein yeh bayaan hai ke Allah Ta’ala ne unhein kis tarah nijaat di aur un ke dushmanon ke makar-o-fareb ko kis tarah door kar diya lehaaza Aayat-e-Kareema:

وَإِن مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ إِلَّا لَيُؤْمِنَنَّ بِهِ قَبْلَ مَوْتِهِ، وَيَوْمَ الْقِيَامَةِ يَكُونُ عَلَيْهِمْ شَهِيدًا

(Al-Nisaa 4 159)

Mein dono majroor zameeron ka marj’a Hazrat ‘Isaa عليه السلام ki taraf hai, Bohat si sahih aur muta’ddid sanaadon se marwi aur had tak tawatur tak pohanchi hoi Ahadees se yeh saabit hai ke Allah Ta’ala ne Hazrat ‘Isaa عليه السلام ko aasmaan par uthaaya aur woh aakhir zamaane mein Haakim-o-‘Aadil ki haisiyat se naazil hon ge aur Maseeh-e-Dajjal ko qatal karen ge.

Shaikh-ul-Islam Ibn-e-Taymiyyah رحمہ اللہ ne Hazrat ‘Isaa عليه السلام ke raf’a aur aakhir zamaana mein nuzool ki bakasrat sanadon se marwi Ahadees ka zikr karne ke ba’d likha hai ke yeh Rasoolullah (ﷺ) ki mutawaatir Ahadees hain jo Abu Huraira , Ibn-e-Mas’ood , ‘Usman-Bin-Abi Al-Aas , Abu Umama , Nawas-Bin-Sam’aan , ‘Abdullah-Bin-Amr-Bin-Aas aur Huzaifa-Bin-Aseed رضي الله عنهم se marwi hain. Un mein aap ke nuzool aur nuzool ki jagah ka zikr hai. Alakh Unhi Ahadees mein se Hazrat Abu Huraira رضي الله عنه se marwi ek Hadees bhi hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

وَالَّذِي نَفْسِي بِيَدِهِ لَيُوْشِكَنَّ أَنْ يَنْزِلَ فِيكُمُ ابْنُ مَرْيَمَ حَكَمًا مُفْسِطًا فَيَكْسِرَ الصَّلِيْبَ وَيَقْتُلَ الْخِنْزِيرَ وَيَضَعَ الْجِزْيَةَ وَيَفِيضُ الْمَالُ حَتَّى لا يَقْبَلَهُ أَحَدٌ

(Sahih Bukhari, Kitaab Ahadees Al-Ambiya, Baab Nuzool ‘Isaa Ibn-e-Maryam علیہ السلام, H: 3448,-O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, baab nuzool ‘Isaa Ibn-e-Maryam Haakima Bashary’aqa . . . , H: 155, -o-Ikhrajahu Al-Tirmizi fi Al-Sunan H: 2233, -o-Ahmed fi Al-Masnad, H: 2 538)

“Us zaat ki qasam jis ke haath mein meri jaan hai ! Qareeb hai ke tum mein Ibn-e-Maryam Haakim-o-‘Aadil ki hesiyat se naazil hon ge, Jo saleeb ko tod dein ge, Khinzeer ko qatal kar dein ge, Jizya khatam kar dein ge aur maal ki is qadar faraawaani ho jaae gi ke us se koi qubool karne waala na ho ga.”

Yeh Hadees bayaan karne ke ba’d Hazrat Abu Huraira رَضِيَ اللهُ عَنْهُ farmaate hain ke agar chaaho to is ki tasdeeq mein yeh Aayat padh lo:

وَإِن مِنْ أَهْلِ الْكِتَابِ إِلَّا لَيُؤْمِنَنَّ بِهِ قَبْلَ مَوْتِهِ

(Al-Nisaa 4 159)

“Hazrat Abu Huraira رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se marwi ek aur Hadees mein hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:

كَيْفَ أَنْتُمْ إِذَا نَزَلَ ابْنُ مَرْيَمَ فِيكُمْ وَإِمَامُكُمْ مِنْكُمْ؟

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, Baab nuzool ‘Isaa Ibn-e-Maryam Haakiman bashary’aqa . . . , H: 155)

“Tumhara Kia haal ho ga jab tum mein Ibn-e-Maryam naazil hon ge aur tumhara Imaam tum mein se ho ga”.

Hazrat Jabir-Bin-‘Abdullah رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se marwi ek sahih Hadees mein hai ke unhon ne Nabi Kareem (ﷺ) ko yeh Irshaad farmaate hue suna ke:

لا تَزَالُ طَائِفَةٌ مِنْ أُمَّتِي يُقَاتِلُوْنَ عَلَى الْحَقِّ ظَاهِرِينَ إِلَى يَوْمِ الْقِيَامَةِ، قَالَ فَيَنْزِلُ عِيسَى ابْنُ مَرْيَمَ عَلَيْهِ السَّلَامُ فَيَقُولُ أَمِيْرُهُمْ : تَعَالَ صَلَّ لَنَا فَيَقُولُ: لَا إِنَّ بَعْضَكُمْ عَلَى بَعْضٍ أُمَرَاءَ تَكْرِمَةَ اللهِ هَذِهِ الْأُمَّة

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Imaan, Baab nuzool ‘Isaa Ibn-e-Maryam Haakiman bashary’aqa . . . , H: 156)

“Meri Ummat ka ek giroh haqq par ladta’ Qayaamat ke din tak ghaalib rahe ga.”

Aap (ﷺ) ne farmaaya:

” ‘Isaa Ibn-e-Maryam علیہ السلام naazil hon ge to un ka ameer kahe ga: Aaiye hamein Namaz padhaaein to woh farmaaein ge nahi tum mein se ba’az Ba’az par ameer hain yeh is Ummat ko Allah Ta’ala ne e’zaaz bakshah hai.”

Yeh Ahadees is baat par dalaalat karti hain ke Hazrat ‘Isaa علیہ السلام aakhir zamaane mein naazil hon ge, hamare Nabi Kareem (ﷺ) ki shari’yat ke mutaabiq ‘amal karein ge aur bilaashak-o-shuba un ke nuzool ke zamaane mein jo Imaam Namaz padhaae ga. Woh Ummat-e-Muhammadiya ka fard ho ga. Hazrat ‘Isaa علیہ السلام ke nuzool aur hamare Nabi (ﷺ) ki khatam-e-Nabuwwat mein koi ta’rruz nahi kyunke Hazrat ‘Isaa علیہ السلام kisi nayi shariy’at ko le kar naazil nahi hon ge, Awwal-o-aakhir hukm Allah Ta’ala hi ka hai, Woh jo chaahta hai karta hai aur jo iraadah karta hai us ke mutaabiq faisla karta hai, Koi us ke hukm ko taal nahi sakta aur woh ghaalib aur hikmat waala hai.

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents