Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

153. Wahaabi da’wat salafi da’wat hai aur in iftiraa pardaaziyon mein koi sadaaqat nahi

Wahaabi da’wat salafi da’wat hai aur in iftiraa pardaaziyon mein koi sadaaqat nahi

[Sawaal]

Yeh jo propaganda kiya gaya hai ke Imaam Shaikh Muhammad-Bin-‘Abdul Wahab رحمة الله ke pairokaaron ne jab Jazeerat-ul-‘Arab par qabza kiya aur Madina Munawwra pohanche to unho ne Masjid-e-Nabwi mein waqiy’e-e-rauza shareef mein apne ghode baandh diye the, Kia yeh sahi hai?

[Jawab]

Yeh baat bilkul sahi nahi hai balkeh yeh jhoot aur haqq ki mukhaalifat hai. Mashoor baat yeh hai ke Imaam Muhammad-Bin-‘Abdul Wahab ke pairokaaron ne jab Madina Munawwra par qabza kiya to unhon ne yahan salafi-e-da’wat ki nashar-o-ashaa’at ka kaam kiya. Us touheed ki haqeeqat ko bayaan kiya jis ke saath Allah Ta’ala ne apne Nabi Kareem (ﷺ) ko mab’oos farmaaya tha aur jis Shirk-e-Akbar mein aksar log mubtala ho chuke the us ki unhon ne tardeed ki aur logon ko Islam ki haqeeqat bataai aur us waqt hajaaz waghaira mein jin bidd’aat-o-khuraafaat ka door daurah tha, Un ki unhon ne muzammat ki. Is ke ‘ilaawa agar koi shakhs yeh kehta hai ke unhon ne qabr shareef ya rawza ki tauheen ki ya yeh kehta hai ke unhon ne ma’az Allah Nabi Kareem (ﷺ) ki tauheen ki ya Sahaaba Karaam رضي الله عنهم aur Auliya Allah mein se kisi ki shaan mein gustaakhi ki to woh jhoot bolta’ Iftraa pardaazi karta’ khilaaf-e waqiy’a aur khilaaf-e-haqeeqat baat karta hai. Kutub-e-tareekh un dalaail se bhari padi hain jo hamari baat ki shahaadat deti aur iftraa pardaazon ke jhoot ko tasat-e-azbaam karti hain.

Allah Ta’ala mujhe bhi aur aap ko bhi Deen mein tufqa aur saabit qadam bana kar ‘ataa farmaae taakeh hum us se mulaaqaat ke din tak us ke Deen se waabasta rahen. mujhe aur aap ko laghshon se mehfooz rakhe , Wahi kaarsaaz -o-Qaadir hai. Hum Allah ‘Az-o-Jal se yeh bhi dua’a karte hain ke woh musalmaanon ke tamaam ‘Ulama aur tamaam daa’iyaan-e-hidaayat ko ma’af farmaae’ hamein aur aap ko un ke naqsh-e-qadam par chalne ki toufeeq ‘ataa farmaae’ Hum sab ko haqq samajhne aur us par ‘amal karne ki toufeeq se nawaaze aur baatil ko samajhne aur us se bachne ki toufeeq se Sarfaraaz farmaae.

انه ولی ذلك والقادر عليه والله الموفق

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents