Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

168. Qaumiyat ki da’wat jaahiliyat ki da’wat hai

Qaumiyat ki da’wat jaahiliyat ki da’wat hai

[Sawaal]

Qaumiyat ki da’wat ke baare mein aap ki Kia raae hai? Kia yeh da’wat ke ma’ani yeh hain ke nasal aur zabaan ki taraf intisaab ko Deen ki taraf intisaab se muqaddam samjha jaae? Qaumiyat ke daa’i jama’atein agarcha da’wa yeh karti hain ke woh Deen ki dushman nahi hain lekin yeh qaumiyat ko Deen se muqaddam zaroor samajhti hain. Aap ki us da’wa ke baare mein Kia raae hai?

[Jawab]

Yeh da’wat jaahiliyat hai, Us ki taraf intisaab aur us da’wat ke dene waalon ki hosla afzaai jaaiz nahi balkeh us se khatam karna zaroori hai kyunke Islami shariy’at to duniya mein aai hi is liye hai ke us jahilaana da’wat ke khilaaf jang kare, Us se nafrat dilaae, Us ke phelaae hue shukook-o-shuhbaat ki tardeed kare,Jis se taalib ke saamne haqeeqat waazeh ho jaae.Yeh sirf Islam hi hai jo ‘Arabi ko lughat’ Adab aur ikhlaaq ke e’itbaar se zindah rakh sakta hai lehaaza Deen-e-Islam ki mukhaalifat ke ma’ani hi ‘Arabi zabaan-o-adab aur ikhlaaq ke haqeeqi khatma ke hain. da’wat-o-muballigheen par farz hai ke woh Islami da’wat ke numaayaan karne mein bhi Isi tarah tan’ Man dhan ki baazi laga dein Jis tarah ist’emaari taaqatein iss se khatam karne mein apna poora zor sarf kar rahi hain.

Deen-e-Islam ki roshni mein badyahi taur par yeh baat ma’loom hai ke ‘Arabi ya kisi bhi doosri qaumiyat ki taraf da’wat ek baatil da’wat hai, Ek zabardast ghalti Ek bohat badi buraai Ek bad tareen jahaalat aur Islam aur musalmaanon ke khilaaf ek khoufnaak saazish hai. Is ke wajooh-o-asbaab hum ne apni kitaab “Naqad Al-Qaumiya Al-‘Arabiya alaa Daw al-Islam wal-Waqi” (Islam aur amar waqiy’e ki roshni mein ‘Arabi qaumiyat par tanqeed) mein tafseel se bayaan kiye hain. Allah Ta’ala se dua’a hai ke woh hum sab ko apni raza ke mutaabiq ‘amal karne ki toufeeq ‘ataa farmaae. Ameen.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents