185. Kitaab Seerat Malik Saif-bin-Zi Yazan
Kitaab Seerat Malik Saif-bin-Zi Yazan
[Sawaal]
Main ne Seerat Malik Saif-Bin-Zi Yazan s jild daum mein yeh padha hai ke Badshaah Saif ek ‘ilaaqe mein gaya jahan us ne ek aadmi ko paaya aur jab us se us ka naam poocha to us ne apna naam Khizar bataaya. Khizar ne Baadshah Saif ko ek bohat hi khubsoorat ‘ilaaqa dikhaaya Jis ka naam Mufeed Jazeera tha aur woh wahin qayaam kiye hue tha kyunke us mein bohat se ‘ajaaibaat the. Maslan yeh ke wahan har raat aasmaan ka ek darwaaza khulta tha jis se Allah ke farishte naazil hote aur Allah Ta’ala ke hukm se zameen mein tasarruf karte the. Khizar ne baadshah ko bataaya ke is jazire ke peeche noor hai aur us noor ke peeche tareeki hai jo duniya ko ghere hue hai aur us ke ba’d ek pahaad hai jis ka naam “Faz” hai aur woh halqa ki tarah gol hai aur poori duniya ko ghere hue hai aur aasmaan us par sawaari kiye hue hai aur Allah Ta’ala ki qudrat sab ka ahaata kiye hue hai. Pahaad ke peeche ek aisi makhlooq hai jo na insaan hai aur na jin . . . . . . sawaal yeh hai ke Kia yeh baatein sachi aur sahi hain?
[Jawab]
Yeh daastaan be asal hai, Is ki koi daleel nahi lehaaza us ki ta’eed karna aur us se Islami ‘aqaaid mein daakhil karna jaaiz nahi hai. ‘Ulama ne zikr farmaaya hai ke Hazrat Khizar ke hawaala se jo hikaayaat bhi bayaan ki jaati hain, Woh be bunyaad hain kio ke Hazrat Khizar ka bhi deegar bandagaan-e-Ilaahi ki tarah inteqaal ho chuka hai, Agar woh maujood hote to hamare Nabi Hazrat Muhammad (ﷺ) ki khidmat mein zaroor haazir hote kyunke Aap (ﷺ) ko anas-o-jin sab ki taraf mab’oos kiya gaya hai. Mazkoora kitaab khuraafaat aur jhooti baaton par mushtamil hai jo ke bilkul be asal hain. Is ka mussaanif bhi ek gumnaam aadmi hai ya woh “Haatib Lail” (Raat ko andhan ikhatta karne waala) hai ke woh jo kuch dekhta hai us se bilaa tehqeeq naqal kar deta hai ya logon ko mashghool rakhne ke liye apne takhayul se ‘ajaaibaat-e-duniya ke baare mein baatein waaz’eh karta hai. Allah Ta’ala ki qudrat aur makhlooqaat ke baare mein us ke ihaata ki was’at mein koi shak nahi lekin in khurafaat-o-hafwaat ka koi sar paaon nahi lehaaza yeh is qaabil hain ke inhein mita diya jaae aur talaf kar diya jaae.
___Shaikh Ibn-e-Jibreen
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…