190. Daadhi ko kaala karna
Daadhi ko kaala karna
[Sawaal]
Jo shakhs daadhi ko kaale siyaah rang se range us ke baare mein Kia hukm hai? Kia aisa karne waala gunnahgaar ho ga ya nahi? Daadhi ko mundwaane aur kaala karne mein Kia farq hai?
[Jawab]
Jo daadhi aur sar ke safed baalon ko mehandi aur wasma waghaira se rangne ki shar’an taur par ijaazat hai lekin kaale rang ki ijaazat nahi hai. Nabi Kareem (ﷺ) ki sahih Ahadees se is tarah saabit hai, Chunaanche Hazrat Jabir-bin-‘Abdullah رَضِيَ اللهُ عَنْهُ se marwi hai ke:
((جِيءَ بِأَبِي قُحَافَةَ يَوْمَ الْفَتْحِ إِلَى رَسُولِ اللهِ ، وَكَأَنَّ رَأْسَهُ ثَغَامَةٌ، فَقَالَ رَسُولُ اللَّهِ : اذْهَبُوا بِهِ إِلَى بَعْضٍ نِسَائِهِ فَتَغَيَّرَ بِشَيْءٍ وَاجْتَنِبُوا السَّواد))
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Libaas-o-Al-Zeenat, Baab Istahbaab Khazaab-o-Al-Shayab . . . , H: 2102, -o-Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tarajul, Baab fi Al-Khazaab, H: 4204, -o-Sunan Al-Nisaai, Kitaab Al-Zeenat, H: 5079)
Fatah-e-Makkah ke din “Abu Qahafa” (Hazrat Abu Bakr رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ke waalid) ko Rasoolullah (ﷺ) ki khidmat mein laaya gaya to un ka sar saghama (Saghama’ Ek qism ka safed phoolon waala poda hai.) ki maannd tha, Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya unhein un ki kisi khaatoon ke paas le jaao jo un ke baalon ko kisi cheez se rang de lekin unhein siyaah rang se bachaana.”
(Masnad Ahmad ki ek riwaayat mein hai ke agar main kisi boodhe aadmi ko un ke ghar hi mein rehne ki ijaazat deta to Abu Bakr رَضِيَ اللهُ عَنْهُ ki ‘izzat afzaai ki wajah se Abu Qahafa ke paas khud chal kar jaata. Hazrat Abu Qahafa رَضِيَ اللهُ عَنْهُ musalmaan ho gae Un ke sar aur daadhi ke baal saghama ke phoolon ki maannd safed the. Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya:)
إِنَّ أَحْسَنَ مَا غَيَّرْتُمْ بِهِ هَذَا الشَّيْبَ الْحِنَّاءُ وَالْكَتَمُ
“Sab se behtareen cheez jis se tum safed baalon ko rango woh mehandi aur wasma hai.”
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tarajul, Baab fi Al-Khazab, H: 4205, -o-Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Libaas, Baab maa jaa fi Al-Khazab, H: 1753, -o-Sunan Al-Nisai, Kitaab Al-Zeenat, H: 5084, 5085,-o-Al-Lafz lahu)
Daadhi ko mundaana aur kaale rang se rangna dono mamn’oo hain lekin mundaana kaale rang se rangne ki nisbat ziyaada sakht gunaah hai.
((وصلى الله على نبينا محمد و آله وصحبه وسلم))
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…