192. Rukhsaaron se baalon ko mundaana
Rukhsaaron se baalon ko mundaana
[Sawaal]
Daadhi mundaane Rukhsaaron ke baalon ke mundaane aur daadhi aur moochon ke chod dene ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Daadhi mundaana jaaiz nahi kyunke sahi Hadees mein Rasoolullah (ﷺ) ka yeh Irshaad-e-Giraami maujood hai ke:
قصوا الشَّوَارِبَ وَاعْفُوا اللحى خَالِفُوا الْمُشْرِكِين
(Masnad Ahmed, 2 229)
“Moonchen katraao , Daadhiyaan badhaao aur mushrikon ki mukhaalifat karo.”
Nez Aap (ﷺ) ka yeh Irshaad hai:
جُرُّوا الشَّوَارِبَ وَأَرْخُوا اللحى خَالِفُوا الْمَجُوسَ
“Moonchen katraao , Daadhiyaan badhaao aur majoosiyon ki mukhaalifat karo.”
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Khasal Al-Fitrat, H: 260)
Daadhi un baalon ko kehte hain jo rukhsaaron aur thodi par hon, Jaisa ke saahib-e-lisaan-o-Qamoos ne waazeh kiya, lehaaza rukhsaaron aur thodi ke baalon ko mundaana ya katwaana nahi chaahiye balkeh waajib hai ke unhein chod diya jaae. Allah Ta’ala sab musalmaanon ko islaah-e-ahwaal ki toufeeq ‘ataa farmaae.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…