195. Moochon ko kaatna aur daadhiyon ko badhaana
Moochon ko kaatna aur daadhiyon ko badhaana
[Sawaal]
Mukhtalif Ahadees mein yeh alfaaz aae hain ke (Qas-o-Al-Shaarib-o-A’if-o- Al-Hayi) is tarah Qas Al-Shaarib Qalam Al-Azaafir ((Nataf Al-Abaṭ)) aur ((Halq Al-‘Aanat) ke alfaaz bhi aae hain. Sawaal yeh hai ke Kia halq aur qas ek doosre se mukhtalif ma’ani rakhte hain? Yeh sawaal bhi hai ke kuch log moonch ke un baalon ko to kaat dete hain jo ooper ke hont hain lekin baaqi moonch ko nahi kaat’te Ba’az log aadhi moonch kaat dete hain aur aadhi nahi kaatte to Kia (Auyanhaq Al-Shaarib) ke ma’ani hain? Umeed hai ke wazaahat farmaaein ge ke moonchon ke kaatney ka Kia tareeqa hona chaahiye jab ke daadhi ke baare mein to yeh baat ma’roof hai ke us se bilkul chod dena chaahiye?
[Jawab]
Rasoolullah (ﷺ) ki sahih Ahadees se saabit hai ke aap ne farmaaya:
قصوا الشَّوَارِبَ وَاعْفُوا اللحى خَالِفُوا الْمُشْرِكِينَ
(Masnad Ahmad, 2 229)
“Moonchon ko katro ,Daadhiyon ko badhaao aur mushrikon ki mukhaalifat karo.”
Is Hadees ki sehat par tamaam aimma ka ittefaaq hai. Nez Aap (ﷺ) ne yeh bhi farmaaya ke:
جُزُوا الشَّوَارِبَ وَأَرْخُوا اللحى خَالِفُوا الْمَجُوسَ
“Moonchon ko katro , Daadhiyon ko badhaao aur majoosiyon ki mukhaalifat karo.”
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Bab Khasal Al-Fitrat, H: 260)
Ba’az riwaayaat mein (اخْفُوا الشَّوَارِبَ) ke alfaaz bhi hain aur “Ahfa” ke ma’ani hote hain khoob achi tarah mubaalighe ke saath moond dena. lehaaza jo shakhs moonch ke baalon ko katar de hatta ke upar ka hont zaahir ho jaae ya khoob achi tarah saare baal moond de to is mein koi harj nahi kyunke Ahadees se dono tareeqe saabit hain.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…