Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

200. Baalon ko chota aur lamba karna

Baalon ko chota aur lamba karna

[Sawaal]

Main ne ek Hadees suni hai jis mein yeh hai ke ek aadmi ne apne sar ke kuch baalon ko mandwa diya aur kuch ko chod diya to Rasoolullah (ﷺ) ne us se is se mana’ kar diya aur farmaaya ke “saare sar ko mond do ya saare ko chod do.” To sawaal yeh hai ke Kia baalon ko kaatna Haraam hai? Nez مُخَلقِيْنَ رَءُوسَكُمْ وَمُقَصِّرِينَ Ka Kia mafhoom hai?

[Jawab]

Sar ke baalon ko kaatna ya mundwaana Haraam nahi hai balkeh yeh dono soortein jaaiz hain aur afzal yeh hai ke aadmi ‘aadat ke mutaabiq ‘amal kare basharteke hum yeh baat sahi Tasleem karen ke baalon ka masla aadat ke taab’e hai Sunnat ke taab’e nahi. Sawaal mein jis Hadees ki taraf ishaara kiya gaya hai to woh Hadees yeh hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne jab ek shakhs ko dekha ke us ne sar ke kuch hisson ko mond rakha tha aur kuch ko chod rakha tha to Aap (ﷺ) ne us se hukm diya ke woh saare sar mond le ya saare ko chod de lehaaza agar sar ke baalon ko mond diya jaae ya katra diya jaae ya takhleeq-o-taqseer ke baghair yoon hi chod diya jaae to is mein koi harj nahi.

Mazkoora baala Aayat-e-Kareema ka jo hawaala diya gaya hai to us mein us waada ki taraf ishaara hai jo Allah Ta’ala ne apne Rasool (ﷺ) aur aap ke Sahaaba Karaam رضي الله عنهم se farmaaya tha ke:

لَتَدْخُلُنَّ الْمَسْجِدَ الْحَرَامَ إِن شَاءَ اللَّهُ عَامِنِينَ مُخَلِّقِينَ رُهُ وسَكُمْ وَمُقَصِّرِينَ

(Al-Fatah 27 48)

“Allah ne chaaha to tum har soorat Masjid-e-Haraam mein apne sar mandwa kar aur apne baal katwa kar aman-o-amaan se daakhil ho ge.”

Is liye ke ‘Umrah karne waale ke liye yeh jaaiz hai ke woh apne sar ko mandwaae ya apne baal katarwaae haan albatta daleel se yeh saabit hai ke katarwaane ki nisbat baalon ko mundwaana afzal hai.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents