Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

206. Daadhi mundaana aur moonchen katraana

Daadhi mundaana aur moonchen katraana

[Sawaal]

Main ne suna hai ke daadhiyaan badhaao aur moonchen katraao, To jo shakhs moonchen rakhta aur daadhi mandaata hai, Us ke baare mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Jo aap ne suna woh sahi hai. Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai ke:

أَحْفُوا الشَّوَارِبَ وَأَعْفُوا اللَّحْى

“Moonchen katwaao , Daadhiyaan badhaao”

Moonchon ko lamba karne se Aap(ﷺ) ne mana’ farmaaya hai ke is mein takleef bhi hai aur aeza bhi jab ke daadhi baa’is-e-Jamal-o-Zeenat hai is liye us se mundaana Allah Ta’ala ne Haraam qaraar diya hai aur Nabi Kareem (ﷺ) ne hukm diya hai ke daadhiyon ko badhaaya jaae aur Aap (ﷺ) ke pairokaaron aur Aap (ﷺ) ki Ummat ke liye yeh waajib hai ke woh Aap (ﷺ) ki farmaan bardaari kare aur Aap (ﷺ) ki ita’at baja laae.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents