Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

214. Peshaab ka waswasa

Peshaab ka waswasa

[Sawaal]

Fazeelat-ul-Shaikh! Mein jab peshaab se faarigh hota hoon to ba’d mein ek qatra nikal aata hai. Yeh marz mujhe paanch maah se laahaq hai. Main ne hospital se ‘ilaaj bhi karwaaya lekin be sood aur mein usi haalat mein Namaazein padh raha hoon To sawaal yeh hai ke mein Namaz padhoon ya na padhoon ya Kia karoon? Meri rehnumaai farmaaiye Allah Ta’ala aap ko jazaae khair se nawaaze!

[Jawab]

Brother! Pehli baat to yeh hai ke aap apni tahaarat ke liye maqdoor bhar ehtiyaat se kaam lijiye’ Peshaab karne aur qatrah waghaira ke munqat’a hone ke ba’d Namaz ka waqt daakhil hone se qareeban nasf ghanta pehle Wuzu kar lijiye taakeh yeh umeed ki jaa sake ke Namaz ka waqt hone se pehle qatrah khatam ho jaaega. Doosri baat yeh hai ke har baar peshaab karne ke ba’d apni sharamgaah ko thande paani se dho lijiye Is se bhi qatrah aana band ho jaaega. Aur agar yeh qatre wuswaas-o-wehm ka nateeja hon to istanja ke ba’d apni shalwaar aur kapde waghaira par paani ke cheente maar lijiye taakeh shaitaan tumhein wehm mein mubtala na kar sake ke yeh tari peshaab ki hai kyunke tumhare saamne yaqeeni taur par yeh baat ho gi ke yeh to us paani ki hai, Jis ke cheente aap ne kapde par maare hain. Haan albatta agar peshaab ka silsila jaari rahe ya peshaab ke ba’d qatre jaari rahen aur woh kayi ghanton tak khatam hi na hon to yeh salsal-e-baul ka marz ho ga aur aise shakhs ka hukm us insaan jaisa ho ga jis ki naapaaki daaimi hai. Use Namaz ka waqt daakhil hone ke ba’d Wuzu karna chaahiye Nez us ke liye har Namaz ke liye Wuzu karna laazmi hai aur us waqt Wuzu karne ke ba’d qatre us ke liye nuqsaan dah na hon ge khuwah woh us ke kapde ya jism ko bhi lag jaaein basharteke woh hifaazat aur safaai ke liye maqdoor bhar asbaab ko ikhtiyaar kare.

Wallahu A’lam

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents