217. Hawa ka musalsal khurooj
Hawa ka musalsal khurooj
[Sawaal]
Mein ek aise marz mein mubtala ho gaya hoon jis ki wajah se mera Wuzu barqaraar nahi rehta’ Jis ki wajah se mujhe Namaz , Tilaawat-e-Qur’an aur un tamaam ‘ibaadat mein musibat ka saamna hai jin ke liye Wuzu laazim hai. ‘Ajeeb baat yeh hai ke joon hi Wuzu ka paani mere jism ko choone lagta hai, mere qasad-o-iraadah ke baghair hawa khaarij hona shur’u ho jaati hai. Namaz-e-Jumm’a’ ‘Eideen , Farz Namaazon aur Tilaawat-e-Qur’an-e-Kareem ke liye bethne mein bhi mujhe dushwaari hoti hai aur sukoon us waqt hota hai jab hawa khaarij ho jaae. Is bemaari ki wajah se mujhe Namaz mein itminaan haasil nahi hota kyunke mujhe Wuzu ke baare mein andesha rehta hai, To sawaal yeh hai Kia mere liye rukhsat ya jawaaz hai, Jis se is marz ki haddat mein takhfeef ho jaae khuwah us se faalij par qiyaas kar liya jaae? mujhe is masla ka hal bataaiye? Allah Ta’ala aap ko ajar-o-sawaab se nawaaze!
[Jawab]
Bazaahir yoon ma’loom hota hai ke yeh woh waswasa hai jis mein bohat se log Wuzu aur Namaz ke silsile mein mubtala hain, Agar soorat-e-haal is tarah hai jaise aap ne zikr ki to aap m’azoor hain aur aap ko us shakhs par qiyaas kiya jaae ga jis ki naapaaki daaimi hai jaise ke salsal-e-bol ka mareez hota hai. lehaaza aap us waqt Wuzu kijiye jab Namaz ka waqt shur’u ho jaae aur iqaamat qareeb ho, Phir maqdoor bhar koshish kar ke Wuzu ko tootney se bachaaiye aur agar aap maghloob ho jaaein aur hawa ko rokne par Qaadir na hon to aap ki Namaz (In sha Allah) sahi ho gi kyunke yeh amar insaani ikhtiyaar se bahar aur izteraar ke mushaaba hai. Wallahu A’lam.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…