218. Dhoop se tahaarat haasil nahi hoti
Dhoop se tahaarat haasil nahi hoti
[Sawaal]
Mere chote bachhe hain, Jinhein god mein uthaana padta hai aur woh mere kapdon par peshaab kar dete hain. Kapdon ko dhoop mein sukha kar unhi mein Namaz padh leti hoon Kia aise kapdon mein Namaz jaaiz hai?
[Jawab]
Ladke ne agar khaana khaana na shur’u kiya ho to us ke peshaab par cheente maarna hi kaafi hai kyunke Umm-e-Qais bint-e-Muhasan se riwaayat hai ke:
أَنَّهَا أَتَتْ بِابْنِ لَهَا صَغِيْرِ لَمْ يَأْكُلِ الطَّعَامَ إِلَى رَسُولِ اللَّهِ ﷺ فَأَجْلَسَهُ فِي حِجْرِهِ فَبَالَ عَلَى ثَوْبِهِ، فَدَعَا بِمَاءٍ فَنَضَحَهُ وَلَمْ يَغْسِلْهُ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Wuzu, Baab Baul Al-Sibyan, H: 223, -o-Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Baab hukm Baul Al-Tafal Al-Raz’ee, H: 278)
Apne ek aise chote bachhe ko le kar Rasoolullah (ﷺ) ki khidmat mein hazir hoon jis ne abhi khaana khaana shur’u nahi kiya tha. Rasoolullah (ﷺ) ne us bachhe ko apni god mein bitha liya to bachhe ne Aap (ﷺ) ke kapdon par peshaab kar diya, To Aap (ﷺ) ne paani mangwa kar cheente maar diye aur us se na dhoya.”
“Nazah” ke ma’ani yeh hain ke kapde ko utaare baghair paani se tar kar diya jaae aur us se malne ki bhi zaroorat nahi hai. Is Hadees se ma’loom hoa ke bacha agar khaana khaana shur’u kar de to us ke peshaab ko dhoya jaae ga jab ke bachi ke peshaab ko har haal mein dhoya jaae ga kyunke Lubaba bint-e-Haris se riwaayat hai ke Hussain-bin-Ali ne Rasoolullah (ﷺ) ki god mein peshaab kar diya to main ne arz kiya: Aap doosra kapda pehn lein aur yeh tehband mujhe de dein taakeh mein us se dho doon to Aap (ﷺ) ne farmaaya:
إِنَّمَا يُغْسَلُ مِنْ بَوْلِ الأُنثى وَيُنْضَحُ مِنْ بَوْلِ الذَّكَرِ
“Bachi ke peshaab se kapda dhoya jaata hai aur bachhe ke peshaab se cheente maar liye jaate hain.”
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Baul Al-Sahbi Yaseeb Al-Saub, H: 375)
Bachhe aur bachi ke peshaab ke baare mein yeh woh hukm hai jo Rasoolullah (ﷺ) ki Sunnat se saabit hai. Is se ma’loom hoa ke saa’il ne jo yeh zikr kiya hai ke woh peshaab se alooda kapdon ko dhoop mein sukha kar unhi mein Namaz padh leta hai to yeh sahi nahi hai. Dhoop se kapda paak nahi hota. aise kapde ko paak kiye baghair us mein Namaz padhna sahi na ho ga.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…