219. Namaz ke ba’d kapdon mein nijaasat ki maujoodgi
Namaz ke ba’d kapdon mein nijaasat ki maujoodgi
[Sawaal]
Ek aadmi ne Namaz padhi aur kaafi muddat ba’d ma’loom hoa ke us ke kapde naapaak the, To Kia woh Namaz ko dohraae jab ke us ne un kapdon mein paanch maah pehle Namaz padhi thi?
[Jawab]
Agar nijaasat ka ‘ilm Namaz se faraaghat ke ba’d ho to Namaz sahi hai kyunke Jibreel علیہ السلام ne jab Nabi Kareem (ﷺ) ko dauraan-e-Namaz yeh bataaya ke aapke n’aleen (Joote) ko nijaasat lagi hoi hai to Aap (ﷺ) ne unhein utaar diya aur Namaz ke ibtidaai hisson ko jo Aap (ﷺ) pehle hi padh chuke the, Na dohraaya. Isi tarah agar nijaasat ke baare mein Namaz se pehle ma’loom ho lekin phir bhool kar unhi kapdon mein Namaz padh le aur us se Namaz ke ba’d yaad aae ke yeh kapde naapaak the to phir bhi Namaz sahi ho gi.
Irshaad-e-Bsari Ta’ala mein hamein yeh dua’a sikhaai gai:
رَبَّنَا لَا تُؤَاخِذْنَا إِن نَّسِينَا أَوْ أَخْطَأْنَا
(Al-Baqrah 2 286)
“Ae Parwardigaar! Agar hum se bhool ya chook ho gai ho to hum se muaakhazah na karna.”
Aur Hadees se yeh saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya:
“Bilaashuba Allah Ta’ala ne hamari is dua’a ko sharaf-e-qubooliyat se nawaaz diya hai.”
__Shaikh-Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…