Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

233. Oont ka gosht khaana

Oont ka gosht khaana

[Sawaal]

Kia oont ka gosht khaane aur us khaane ke ba’d jis se oont ke gosht ke saath banaaya gaya ho, Wuzu karna waajib hai?

[Jawab]

Oont ka gosht mila khaana khaane aur oontni ka doodh peene se Wuzu karna waajib nahi hai kyunke ‘Ulama ke sahih tareen qawl ke mutaabiq sirf Ahl-e-(Oont) ke gosht khaane se Wuzu karna waajib hai. kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai:

تَوَضَّرُّوا مِنْ لُحُومِ الإِبِلِ وَلَا تَتَوَضَّؤُوا مِنْ لُحُومِ الغنم

(Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab maa jaa fi Al-Wuzu min lahoom Al-Abal, H: 81.)

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Al-Wuzu min lahoom Al-Abal, H: 184)

“Ahl-e-(Oont) ke gosht khaane se Wuzu karo aur bakri ke gosht khaane se Wuzu na karo.”

Aur Imaam Muslim ne Sahih mein Hazrat Jabir-Bin-Samrah رضی اللہ عنہ ki riwaayat bayaan ki hai ke:

أَنَّ رَجُلًا سَأَلَ النَّبِيَّ ، ، أَنَتَوَضَّأُ مِنْ لُحُومِ الإِبِلِ قَالَ نَعَمْ

“Ek aadmi ne Nabi Kareem (ﷺ) se poocha iya hum oont ke gosht khaane se wuzu karen?” Aap (ﷺ ) ne farmaaya: “Haan.”

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Wuzu min lahoom Al-Abal, H: 360)

Yaad rahe shorbe khaane aur doodh ko gosht nahi kaha jaa sakta (Yaane yeh hukm sirf gosht khaane ki soorat mein hai) aur yeh umoor touqeefi hain, qiyaas ka in mein koi dakhal nahi. Wallahu A’lam.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents