245. Jab ehtilaam ka koi nishaan na ho
Jab ehtilaam ka koi nishaan na ho
[Sawaal]
Basa auqaat neend se bedaar hone par yaad aata hai ke ehtilaam hoa tha lekin is ka koi nishaan nazar nahi aata to Kia us soorat mein ghusl waajib hai ya nahi?
[Jawab]
Ehtilaam hone par sirf Isi soorat mein ghusl waajib hai jab aadmi paani Yaane mani dekhe kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai ke:
الْمَاءُ مِنَ الْمَاءِ
“Paani ka iste’maal paani (Dekhne ki soorat mein) .
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab bayaan an Al-jam’a kaan fi awwal Al-Islam la yaujab . . . , H: 363)
Yaane ghusl ke liye paani iste’maal karne ki us waqt zaroorat hai jab mani ka khurooj hoa ho. Ahl-e-ilm ke nazdeek yeh hukm muhtalim ke liye hai. Lekin jo shakhs apni biwi se mubaashirat kare to us ke liye ghusl farz hai khuwaah paani khaarij na bhi hoa ho kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ka Irshaad hai ke :
إِذَا مَسَّ الْخِتَانُ الْخِتَانَ فَقَدْ وَجَبَ الْغُسْلُ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Tahaarat, Baab Almaa min almaa wajoob Al-ghusl baaltaqa Al-Khataneen, H: 349)
“Jab mard ka khatne ka maqaam ‘Aurat ke khatne ke maqaam se mil jaae to us par ghusl waajib ho jaata hai.”
Nez Nabi (ﷺ) ne yeh bhi farmaaya hai ke:
إِذَا جَلَسَ بَيْنَ شُعَبِهَا الأَرْبَعِ ثُمَّ جَهَدَهَا فَقَدْ وَجَبَ عَلَيْهِ الْغُسْلُ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-ghusl, Baab Izaa Al-Taqi Al-Khataneen, H: 291, -O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Almaa min almaa Wajoob Al-ghusl baaltaqa’ Al-Khataneen, H: 348)
“Mard jab ‘Aurat ki chaaron shaakhon ke darmiyaan beth jaae aur koshish kare to us par ghusl waajib ho jaata hai.”
(Sahih Muslim ki riwaayat mein yeh alfaaz bhi hain ke:)
وَإِنْ لَمْ يَنزِلُ
(Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Almaa min Almaa . . . , H: 348)
“Khuwah Inzaal na ho.”
Aur Hazrat Anas-Bin-Malik رضی اللہ عنہ se riwaayat hai ke Umm-e-Saleem Ansariya. . . . . . . .yeh Hazrat Anas رضي الله عنها ki waalida hain . . . . . . . . unhon ne kaha ya Rasoolullah !
إِنَّ اللَّهَ لَا يَسْتَحْيِي مِنَ الْحَقِّ فَهَلْ عَلَى الْمَرْأَةِ مِنْ غُسْلٍ إِذَا احْتَلَمَتْ؟ فَقَالَ : نَعَمْ إِذَا رَأَتِ الْمَاء
“Allah Ta’ala haqq baat se nahi sharmaata: Kia ‘Aurat ko ehtilaam ho jaae to us par bhi ghusl hai?
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-ghusl, Baab azaa ahtalamat Almaraat, H: 282,-O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Wajoob Al-ghusl ‘Ali Almaarat bakharoj Al-Mani manha, H: 313)
To Nabi (ﷺ) ne farmaaya “Haan jab paani dekhe.”
Tamaam Ahl-e-ilm ke nazdeek yeh hukm mardon aur ‘Aurton sab ke liye hai. Wallahu waali Al-Toufeeq.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…