Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

247. ghusl-e-janaabat aur haiz mein sar ki takleef ki wajah se masaah

ghusl-e-janaabat aur haiz mein sar ki takleef ki wajah se masaah

[Sawaal]

Mein ek shaadi shudah ‘Aurat hoon aur seena ki allergy ki mareez hoon, Mujhe saara saal nazla rehta hai, Mein kis tarah Namaz padhoon? Kia main ghusl kar loon aur sar ko dhoe baghair us ka sirf masah kar loon? kyunke mujhe ma’loom hai ke jab sar ko ek baar dho loon to hafte mein kayi baar nazla ho jaata hai aur mujhe aksar Namaz chodna padti hai kyunke mujhe sar dhone ki qudrat nahi hoti aur mein sirf masah kar sakti hoon aur is ki wajah se mujhe be had qalaq-o-iztiraab hai aur mein bohat pareshaan hoon lekin mujhe yeh bhi ma’loom hai ke Deen bohat asaan hai. Umeed hai aap is silsila mein meri qat’i rehnumaai farmaaein ge taakeh mein itminaan se zindagi basar kar sakoon aur apne faraaiz ko bhi mukammal taur par adaa kar sakoon Mein ustaani hoon. Kaam ke liye mujhe rozaana ghar se bahar nikalna padta hai, Hawa lag jaae to kayi din ke liye saahib-e-faarash ho jaati hoon kyunke mein mareeza hoon Allah Ta’ala khoob jaanta hai ke mujhe azdawaji zindagi ki wajah se bohat pareshaani hai kyunke khaawand ki ita’at farz hai aur is se badh kar Allah Ta’ala ki ita’at farz hai.

Agar ghusl-e-janaabat-o-haiz mein sar dhone se tumhein takleef hoti hai to sar ka tayammum ke saath masah karna hi kaafi ho ga? kyunke Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

فَاتَّقُوا اللّٰهَ مَا اسۡتَطَعۡتُمۡ

(Al-Taghaban 64 16)

“So jahan tak ho sake tum Allah se daro.”

Aur Nabi Kareem (ﷺ) ne farmaaya hai ke:

مَا نَهَيْتُكُمْ عَنْهُ فَاجْتَنِبُوهُ وَمَا أَمَرْتُكُمْ بِهِ فَأْتُوا مِنْهُ مَا اسْتَطَعْتُمْ

“Jis baat se mein tumhein mana’ kar doon us se ijtinaab karo aur jis ka mein tumhein hukm doon Maqdoor bhar us ki ita’at baja laao”

(Sahih Bukhari، Kitaab Al-E’itsaam baalkitaab-o-Al-Sunnat، Baab Al-Aqtada basunan Rasoolullah، H: 7288، -O-Sahih Muslim، Kitaab Al-fazaail، baab tauqeer-o-Tarka Iktaar sawalahu ‘amaa . . .، H: 1337)

__-Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents