Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

255. Mareez ka pathar ke farsh se tayammum karna

Mareez ka pathar ke farsh se tayammum karna

[Sawaal]

Kia us pathar se tayammum karna jaaiz hai jis se haath par gobar na lage? tayammum kin kin a’zaa par hona chaahiye? Ek tayammum ke saath kitni Namaazein padhi jaa sakti hain?

[Jawab]

Ba’az ‘Ulama ka yeh mazhab hai ke tayammum ke liye shart hai ke woh aisi mitti se ho jis se haath par gobar lag jaae. Un ka istadlaal Irshaad-e-Baari Ta’ala:

فَامۡسَحُوۡا بِوُجُوۡهِكُمۡ وَاَيۡدِيۡكُمۡ مِّنۡهُ‌

(Al-Maa’idah 5 6)

“Aur is se apne munh aur haathon ka masah (Yaane tayammum) kar lo.”

Se hai ke jis mein yeh gobar na ho us se masah nahi kiya jaa sakta .lekin sahih yeh hai ke gobar shart nahi hai, Shart sirf yeh hai ke mitti paak ho.

Chunaanche Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

فَتَيَمَّمُوا صَعِيدًا طَيِّبًا

(Al-Nisaa 6 63)

“Paak mitti se tayammum kar lo.”

Sa’eed sataah zameen ko kehte hain lehaaza tayammum rait se bhi jaaiz hai jis mein gobar nahi hota, Isi tarah kankariyon waghaira se bhi jaaiz hai. Woh qaidi ya mareez jis ke paas pathar ya tile waghaira se bana hoa farsh ho aur woh doosri jagah na jaa sakta ho to us ka us farsh hi se tayammum jaaiz ho ga khuwah us par gobar na bhi ho, Nez mitti na hone ki soorat mein woh bistar waghaira par bhi tayammum kar sakta hai kyunke farmaan-e-Baari Ta’ala hai:

فَاتَّقُوا اللّٰهَ مَا اسۡتَطَعۡتُمۡ

(Al-Taghaban 64 16)

“Jahan tak ho sake Allah se daro.”

A’zaa-e-tayammum chehra aur dono haath hain. pehle dono haath chehre par pherle phir ek haath ko doosre haath par phere aur ungliyon mein khalaal kare, Aur masah ke liye hatheliyon par hi iktifa kare aur agar haathon par bhi masah kare to koi harj nahi aur ek hi zarb kaafi hai aur agar do baar zarb lagaale to yeh bhi jaaiz hai.

Afzal yeh hai ke har Farz Namaz ke liye tayammum kare aur agar do Farz Namaazein ekathi padh raha ho to un ke liye ek tayammum hi kaafi hai. Ek tayammum ke saath kayi Namaazein padh sakta hai basharteke Muhaddis (be Wuzu) na ho ya paani na paae aur jab paani paale to phir Allah Ta’ala se darna chaahiye aur jism ko paani lagaana chaahiye.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents