267. Kia tail bhi paani ke a’aza wuzu tak pohachne mein rukaawat hai?
Kia tail bhi paani ke a’aza wuzu tak pohachne mein rukaawat hai?
[Sawaal]
Ek Deeni bhai ne yeh sawaal kiya hai ke main ne ba’az ‘Ulama karaam se yeh suna hai ke tail bhi Wuzu ke ‘aza tak paani ke pohanchne mein haail hai aur mein jab khaana pakaata hoon to tail ke qatre mere baalon ya ‘aza-e-Wuzu par gir jaate hain to Kia is soorat Wuzu se pehle un ‘azaa ko sabun se dhona zaroori hai taakeh ‘aza-e-Wuzu tak paani pohanch jaae? Mein apne baalon ke ‘ilaaj ke liye bhi basa auqaat tail iste’maal karta hoon to us soorat mein mujhe Kia karna ho ga? Umeed hai mustafeed farmaaein ge.
[Jawab]
Jo is sawaal ke jawaab se pehle mein chaahta hoon ke yeh bayaan kar doon ke Allah Subhaan-o-Ta’ala ne apni Kitaab-e-Mubeen mein yeh bayaan farmaaya hai ke:
يٰۤـاَيُّهَا الَّذِيۡنَ اٰمَنُوۡۤا اِذَا قُمۡتُمۡ اِلَى الصَّلٰوةِ فَاغۡسِلُوۡا وُجُوۡهَكُمۡ وَاَيۡدِيَكُمۡ اِلَى الۡمَرَافِقِ وَامۡسَحُوۡا بِرُءُوۡسِكُمۡ وَاَرۡجُلَكُمۡ اِلَى الۡـكَعۡبَيۡنِ ؕ
(Al-Maa’idah 5 6)
“Momino! Jab tum Namaz pdhne ka qasad kiya karo to munh aur kuhniyon tak haath dho liya karo aur sar apne ka masah kar liya karo aur takhno tak paaon (Dho liya karo)”
Un ‘aza ke dhone aur sar ke masah ka taqaaza yeh hai ke us cheez ko zail kiya jaae jo un ‘aza tak paani ke pohanchne mein haail ho kyunke kisi cheez ke haail hone ki soorat mein paani ‘aza tak na pohanch sake ga aur is tarah woh dhul na saken ge to us ki bunyaad par hum yeh kahen ge ke insaan jab apne a’aza-e-Wuzu par koi tail waghaira iste’maal kare aur agar woh jamad shakal mein ho to zaroori hai ke Wuzu se pehle us se zaail kar diya jaae kyunke tail agar Isi tarah jaamid soorat mein ‘aza par laga raha to woh jism tak paani ko nahi pohanchne de ga jis ki wajah se Wuzu sahih na ho ga.
Agar tail jaamid soorat mein a’aza par baaqi na ho balkeh sirf us ka asar baaqi ho to yeh nuqsaan de nahi hai lekin is soorat mein a’aza-e-Wuzu ko haathon se khoob malna chaahiye kyunke ‘aam taur par tail paani se alag ho jaata hai aur is baat ka bhi andesha hota hai ke achi tarah a’aza ko na malne ki soorat mein mumkin hai tamaam a’aza tak paani na pohanch sake, lehaaza hum saail se yeh kahen ge ke agar ‘aza-e-tahaarat par maujood yeh tail jaamid hai aur woh paani keh a’aza tak pohanchne mein haail hai to phir us se Wuzu se pehle zaail karna zaroori hai. Aur agar yeh jaamid soorat mein maujood nahi to phir koi harj nahi aur us se sabun se dhona zaroori nahi lekin a’aza-e-Wuzu ko haathon se khoob maliye kahin aisa na ho ke paani tail ke upar se phisal jaae. Wallahu A’lam
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…