268. Daanton mein khaane ke zarre aur Wuzu
Daanton mein khaane ke zarre aur Wuzu
[Sawaal]
Ek Deeni behn yeh sawaal poochti hain ke basa auqaat mein mehsoos karti hoon ke daanton mein khaane ke kuch zarre hain to Kia Wuzu se pehle un ka azaala zaroori hai
[Jawab]
Mujhe bazaahir yun ma’loom hota hai ke Wuzu se pehle un ka azaala zaroori nahi hai lekin bilaashak-o-shuba daanton ki safai akmal-o-athar hai aur daanton ki bemaari se insaan ko bachaati hai kyunke yeh zarre jab daanton mein reh jaaein to un se ‘afoonat paida hoti hai jis se daanton aur masoodhon ko bemaari laahaq ho jaati hai lehaaza zaroori hai ke insaan khaana khaane ke ba’d daanton mein khalal karle taakeh khaane ke zarraat ko door kar sake.
Nez yeh bhi zaroori hai ke Miswaak kare kyunke khaana munh ki bu ko badal deta hai aur Nabi (ﷺ) ne miswaak ke baare mein farmaaya hai ke:
إِنَّهُ مَطْهَرَةٌ لِلْفَمِ، مَرْضَاة للربا
“Miswaak munh ko paak karti aur Rabb Ta’ala ko raazi karti hai.”
(Sunan Nisai, Kitaab Al-Tahaarat, Baab hal Yastaak Al-Imaam bahazrat R’abatuhu, H: 5)
Yeh Hadees is baat ki daleel hai ke jab bhi munh ko paak karne ki zaroorat ho to us se miswaak se paak saaf kar liya jaae.Wallahu A’lam
__Shaikh Ibn-e- ‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…