270. Wuzu mein waswasa
Wuzu mein waswasa
[Sawaal]
Mein chobees baras ki Umar ka ek naujawaan hoon. Wuzu karte hue aur kabhi Wuzu ke ba’d uthte hue ya kisi harkat ke dauraan yoon mehsoos hota hai ke peshaab ka qatra nikal aaya hai. Is baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Aksar shaitaan ba’az logon ke dil mein yeh waswasa paida karta hai ke hawa ya peshaab ka qatra khaarij hone se un ka Wuzu toot gaya hai lekin is ki koi haqeeqat nahi hoti. lehaaza jo shakhs is tarah ke kisi waswasa mein mubtala ho us se chaahiye ke woh yaqeen Yaane apni tahaarat ko hi pesh-e-nazar rakhe aur un auhaan ki taraf tawajjuh na de, Is se woh mehfooz bhi rahe ga aur auhaam ka yeh silsila jald khatam bhi ho jaae ga. Aur agar aadmi un auhaam mein kho jaae to us ka gham daraaz aur us ke waswason mein izaafa ho jaae ga. Woh baar baar Wuzu kare ga to Namaz ba jama’at ya Namaz ki awwal waqt mein adaaigi Faut ho jaae gi hatta ke woh ‘ibaadat hi se ikta jaae ga aur ‘ibaadat us se bohat giraan mehsoos hone lage gi.
Aur shaitaan mardood ki yehi to khuwaahish hai ke woh insaan ko apne Rabb ki bandagi se door hata de.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…