271. Hawa ke khaarij hone mein shak
Hawa ke khaarij hone mein shak
[Sawaal]
Mujhe gas ki bohat takleef hai hatta ke Wuzu karte hue bhi yeh shak hone lagta hai ke hawa khaarij hoi hai ya nahi, Aur is ki wajah se mujhe ek ya do martaba Wuzu dohraana padta hai. Kia yeh tab’i haalat hai? Nez yeh farmaaiye ke is ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Namaz ke dauraan ba’az logon ko jo yeh mehsoos hota hai ke hawa khaarij ho rahi hai to aksar-o-beshtar sooraton mein mehez wehm hota hai, Jis ka haqeeqat se koi ta’lluq nahi. Aur Hadees mein hai ke:
لا يَنْصَرِفْ حَتَّى يَسْمَعَ صَوْتًا أَوْ يَجِدَ رِيحًا
“Us waqt tak koi shakhs Namaz se na phire jab tak awaaz na sun le ya badbu mehsoos na kare.”
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Wuzu, Baab min lam yar Al-Wuzu illa min Al-Mukharajeen min Al-qabl-o-Al-Dabar, H: 177, -O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Daleel ‘Ali an min Tayqan Al-Tahaarat sum shak . . . , H: 361)
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…