Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

274. Peshaab ke ba’d khaarij hone waala safed maadah

Peshaab ke ba’d khaarij hone waala safed maadah

[Sawaal]

Jab mein bait-ul-khala mein jaata hoon to peshaab ke aakhir mein mehsoos karta hoon ke kuch maadah-e-manwiya khaarij hoa hai lekin ma’loom nahi ke har martaba peshaab ke ba’d Ghusl karoon ya Kia karoon kyunke mujhe shak hai ke is ka hukm mubaashirat ka hai ya nahi?

[Jawab]

Yeh mani jo peshaab ke ba’d khaarij hoti hai, Yeh Wadi ke naam se mashoor hai yeh chunki peshaab ke ba’d khaarij hoti hai aur beh kar nikalti hai is liye yeh muajjib-e-ghusl nahi balkeh naaqiz-e-Wuzu hai lehaaza is ke khaarij hone se aala-e-tanaasul ko dhona aur Wuzu karna laazim ho ga. Ghusl karna laazim na ho ga kyunke ghusl to us waqt waajib hota hai jab mani dafaq aur lazzat ke saath khaarij ho, Dafaq ke ma’ani hain khoob zor se uchal kar nikalna lehaaza agar mani peshaab ki soorat mein beh kar ya qatron ki soorat mein khaarij ho to is tarah khaarij hona nuqsaan dah nahi hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents