Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

276. Oont ka gosht naaqiz-e-Wuzu hai

Oont ka gosht naaqiz-e-Wuzu hai

[Sawaal]

Kia oont ka gosht khaane se Wuzu toot jaata hai? Hadees mein waarid hai ke ek shakhs se bu mehsoos ki gai to Rasoolullah(ﷺ) ne tamaam hazireen ko hukm diya ke woh Wuzu karen aur hum ne ibtidaaiya mein yeh padha tha ke oont ka gosht khaane se Wuzu toot jaata hai?

[Jawab]

Yeh qissa to mutlaqan be asal aur Nabi Kareem (ﷺ) ki taraf ek jhooti baat mansoob hai kyunke Rasoolullah (ﷺ) ne hamein yeh bhi farma sakte the ke jo shakhs be Wuzu ho gaya hai woh Wuzu kare. Muhaddis ke ma’loom na hone ki wajah se sab logon par Wuzu karna laazim nahi hota.

Oont ka gosht khaane ki soorat mein sahi baat yeh hai ke us se Wuzu karna waajib hai, Khuwah gosht thoda khaaya ho ya ziyaada Kacha khaaya ho ya paka kar aur khuwah oont ke jism ke kisi bhi hissa ka gosht khaaya ho kyunke Nabi (ﷺ) ke Irshaad:

تَوَضَّؤُوا مِنْ لُحُومِ الإبل

“Oont ke gosht se Wuzu karo.”

(Jaam’a Al-Tirmizi, Kitaab Al-Tahaarat, Baab maa jaa fi Al-Wuzu min Lahoom Al-Abal, H: 81, -O-Sunan Abi Dawood, Kitaab At-Tahaarat, Baab Al-Wuzu Min Lahoom Al-Abal, H: 184)

ke ‘umoom se yehi saabit hota hai. Isi tarah Hadees mein hai ke ek aadmi ne ‘arz kiya:

يَا رَسُولَ اللَّهِ أَنْتَوَضَّأُ مِنْ لُحُومِ الْغَنَمِ؟ قَالَ : إِنْ شِئْتَ، قَالَ:
أَنْتَوَضَّأُ مِنْ لُحُوْمِ الإِبْلِ؟ قَالَ : نَعَمْ

(Sahih Muslim, Kitaab Al-Haiz, Baab Al-Wuzu min Lahoom Al-Abal, H: 360)

“Ya Rasoolullah! Kia hum bakri ka gosht khaane ke ba’d Wuzu karen?” farmaaya “Agar chaaho to kar lo.” Us ne ‘arz kiya “Kia hum oont ka gosht khaane ke ba’d Wuzu karen?”

Aap (ﷺ) ne farmaaya “Haan.”

To is Hadees se ma’loom hoa ke bakri ka gosht khaane ke ba’d Wuzu karne ko khaane waale ki marzi par munhAsar qaraar diya to ma’loom hoa ke oont ka gosht khaane ke ba’d Wuzu karna insaan ki marzi par munhAsar nahi hai aur yehi ma’ani hain is baat ke ke oont ka gosht khaane ke ba’d Wuzu karna waajib hai.

_Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents