277. Kasrat-e-Gas Ka ‘Aarza
Kasrat-e-Gas Ka ‘Aarza
[Sawaal]
Mujhe kasrat-e-gas ka ‘aarza laahaq hai jo Namaz mein bhi rukaawat banta hai aur kabhi Namaz padhte hue bhi yeh ‘aarza laahaq ho jaata hai to us soorat-e-haal mein Kia mein Namaz tod doon ya ghair Tahir haalat hi mein padhti rahoon? mujhe ek Namaz ke liye kayi baar Wuzu karna padta hai jis ki wajah se bohat takleef aur mushaqqat uthaana padti hai, khusoosan sardi ke mousam mein us se bohat takleef hoti hai.
[Jawab]
Jo Namaz mein Wuzu ki hifaazat aur hawa ke rokne ki koshish karo, Agar hawa ka khurooj daaimi aur mustaqil no’iyat ka ho to us shakhs ke hukm mein ho ga jis ka hadas-e-daaimi hota hai. Maslan salsal al-baul aur istahaza ki mareeza Lehaaza is soorat mein mushaqqat ki wajah se Wuzu nahi toote ga haan albatta aap ko is bemaari ka maqdoor bhar ‘ilaaj zaroor karaana chaahiye.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…