282. Us khaarij hone waale maadah ka Kia hukm hai?
Us khaarij hone waale maadah ka Kia hukm hai?
[Sawaal]
Mein jab apni biwi se khush tab’i ki baatein karta hoon to mehsoos karta hoon koi cheez khaarij ho rahi hai aur jab mein apne kapdon ka jaaiza leta hoon to ma’loom hota hai ke ek be rang lais daar maadah khaarij hoa hai. Kia us maadah ke khurooj ki soorat mein bhi mukammal tahaarat Yaane ghusl karne ki zaroorat hai?
[Jawab]
Agar khaarij hone waala yeh maadah mani hai to ghusl waajib ho ga aur mani mashoor-o-m’aroof maadah hai jo uchal (Tapak) kar lazzat ke saath khaarij hota hai. Aur agar yeh maadah mani nahi balkeh mazi hai jo ghair mehsoos taur par aksar-o-beshtar fataur-e-shehwat ke waqt khaarij hota hai to us se ghusl waajib nahi hota balkeh waajib yeh hota hai ke aala-e-tanaasul aur khasiyatein ko dho kar Wuzu kar liya jaae jab ke mani ke khurooj ki soorat mein ghusl waajib hai aur jab yeh shak ho ke yeh mani hai ya mazi to phir us se mazi par mahmool kiya jaae ga aur ghusl waajib na ho ga. Is soorat mein aala-e-tanaasul, Khasiyatein aur kapde ke aalooda hisson ko dho lo aur Namaz ke liye Wuzu ki tarah Wuzu kar lo.
__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…