289. Bohat bareek juraab par masaah
Bohat bareek juraab par masaah
[Sawaal]
Bohat bareek juraab par masaah karne ke baare mein Kia hukm hai?
[Jawab]
Juraab par masaah karne ke liye shart yeh hai ke woh moti ho aur paaon ko chupaae hue ho aur agar juraab baareek ho to masaah jaaiz na ho ga kyunke us soorat mein to paaon goya nanga ho ga.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
[Sawaal]
Roi, oon ya naayilon ki bani hoi un juraabon par bhi masaah jaaiz hai jo aaj kal iste’maal hoti hain? Mouzon par masaah ki Kia sharaait hain? Kia joote ke saath Namaz adaa karna jaaiz hai?
[Jawab]
Aisi juraabon par bhi masaah jaaiz hai jo paak hon aur qadam ko chupaae hue hon jis tarah mouzon par masaah jaaiz hai kyunke Hadees se saabit hai ke Nabi (ﷺ) ne juraabon aur mouzon par masaah farmaaya. Hazraat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم ki ek Jama’at se bhi yeh saabit hai ke unhon ne juraabon par masaah kiya. juraabon aur mouzon mein farq yeh hai ke mouze chamde ke banaae jaate hain jab ke juraab roi waghaira se banaai jaati hai. Mouzon aur juraabon par masaah ki shartein yeh hain ke woh paaon ko chupaae hue hon. Unhein bahaalat-e-taharaat pehna gaya ho.Muqeem ek din raat aur musaafir teen din raat ke liye masaah kar sakta hai. Waqt ka aaghaaz be Wuzu hone ke ba’d pehle masaah se shumaar ho ga taa ke is masla mein waarid tamaam Ahadees par ‘amal ho jaae. Aise jooton mein Namaz jaaiz hai jo paak hon aur un ko koi najis cheez na lagi hoi ho kyunke Nabi Kareem (ﷺ) se saabit hai ke:
الأَنَّ النَّبِيَّ ، صَلَّى فِي نَعْلَيْهِ
“Aap (ﷺ) ne na’leen shareefein mein Namaz adaa farmaai.”
Aur Hazrat Abu Sa’eed Khadri رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ki riwaayat mein hai ke:
إِذَا جَاءَ أَحَدُكُمْ إِلَى الْمَسْجِدِ فَلْيُقَلِّبُ نَعْلَيْهِ فَإِنْ رَأَى فِيْهِمَا أَذًى فَلْيَمْسَحْهُ ثُمَّ لِيُصَلِّ فيهما
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Al-Salaat, Baab Al-Salaat fi Al-Na’al, H: 650)
“Jab tum mein se koi Masjid mein aae to woh apne jooton ko ulat kar dekh le, Agar un mein koi gandagi ho to us se ragad kar saaf kar le aur un mein Namaz padh le.”
Jab Masjid mein dariyaan ya qaleen waghaira biche hon to phir ziyaada ehtiyaat is mein hai ke aadmi joote utaar kar kisi munaasib jagah rakh de ya unhein ek doosre ke upar rakh kar apne paaon ke paas rakh le taa ke Namaaziyon ke liye Masjid ka farsh kharaab na ho. Wallahu waali Al-Toufeeq
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…