Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

293. Mouzon par masaah ke waqt ki ibtida

Mouzon par masaah ke waqt ki ibtida

[Sawaal]

Mouzon par masaah ki muddat ka aghaaz kab se shumaar ho ga? Kia hadas ke ba’d se ya wuzu ke ba’d se ?

[Jawab]

Mouzon par masaah ki muddat ka aghaaz us waqt se ho ga jab hadas ke ba’d pehli martaba masaah kare ga.Yehi qawl raajeh hai “kyunke Nabi Kareem (ﷺ) ne mouzon par masaah ke liye jo waqt mu’yyan farmaaya hai, Woh muqeem ke liye ek din raat aur musaafir ke liye teen din raat hai “To mouzon par masaah jab falan ho ga to usi waqt se us ka shumaar ho ga aur saabiq-e-muddat us mein shaamil nahi ho gi. Maslan agar kisi ne Namaz-e-Fajr ke waqt mouze pehne Zuha ke waqt woh be Wuzu ho gaya aur zawaal-e-Aftaab ke waqt us ne masaah kiya to masaah ki muddat ka aghaaz zawaal-e-Aftaab se ho ga aur jab doosre din zawaal-e-Aftaab ho ga to muqeem ke liye aur jab chawthe din zawaal-e-Aftaab ho ga to musaafir ke liye muddat khatam ho jaae gi.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents