Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

294. juraabon par masaah ke ba’az Ahkaam

juraabon par masaah ke ba’az Ahkaam

[Sawaal]

Musaafir kitni muddat ke liye juraabon par masaah kar sakta hai? Us shakhs ke liye Kia hukm hai jo ek baar masaah kar le aur phir paanchon Farz Namaazein us Wuzu se padh le Phir juraab utaare aur dobaraah Wuzu kare? Kia us juraab ke utaarney se jis par masaah kiya ho Wuzu toot jaae ga? Allah Ta’ala aap ko ajar-o-sawaab se nawaaze!

[Jawab]

Musaafir ke liye masaah karne ki muddat teen din raat aur muqeem ke liye ek din raat hai. Us muddat ka aghaaz-e-hadas ke ba’d pehle masaah se ho ga. Maslan Namaz-e-Fajr ka Wuzu karke juraabein pehni Zuha ke waqt aadmi be Wuzu ho gaya aur us ne zawaal-e-Aftaab ke waqt Wuzu karte hue masaah kiya to muddat-e-masaah ka aghaaz zawaal-e-Aftaab ke waqt se ho ga aur muqeem hone ki soorat mein agle ek din raat tak aur musaafir hone ki soorat mein aa’inda teen din aur raaton tak us se masaah karne ki ijaazat hai.Agar masaah ki muddat khatam ho jaae aur aadmi ki haalat-e-tahaarat barqaraar ho to is se us ki tahaarat khatam na ho gi balkeh jab tak tahaarat khatam na ho us ki haalat-e-Taahir shumaar ho gi.

Agar aadmi ne Wuzu karke juraabein pehni aur abhi tak ek daf’a bhi masaah nahi kiya Yaane abhi tak Wuzu barqaraar hi tha ke us ne juraabon ko utaar diya to is se Wuzu nahi toote ga aur masaah karne ke ba’d utaara to phir bhi sahi baat yehi hai ke us ka Wuzu nahi toote ga kyunke is soorat mein Wuzu keu tootne ki koi daleel nahi hai lekin dobaraah juraabein pehanne ke liye zaroori hai ke Wuzu karte waqt paaon dhoe.

__Shaikh Ibn-e-‘Usaymeen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents