Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

310. Tahaarat ke ba’d matyaala ya peela paani kuch nahi

Tahaarat ke ba’d matyaala ya peela paani kuch nahi

[Sawaal]

Mera ma’mool chey din ka hota hai aur kabhi yeh ma’mool saat din ka bhi ho jaata hai. Mein tahaarat ke mushaahida ke ba’d ghusl kar leti hoon lekin aik mukammal din ki tahaarat ke ba’d mein matyaale se rang ka paani dekhti hoon jis ke baare mein mujhe ma’loom nahi ke is ka Kia hukm hai? lehaaza mein hairaan ho jaati hoon ke Namaz, Roza aur apne Khaaliq ki ‘ibaadat se muta’lliq doosre umoor adaa karoon ya na karoon? Baraah-e-Karaam rehnumaai farmaaiye ke mein is haalat mein Kia karoon? Allah Ta’ala aap ko ajar-o-sawaab se nawaaze.

[Jawab]

Agar tumhein apne ma’mool ke ayyaam ka ‘ilm hai to utne din shumaar karo aur un ke ba’d Namaz aur Roza shur’u karo aur tahaarat ke ba’d nazar aane waale matyaale ya peeley rang ke maadah ke ikhraj ki wajah se Namaz aur ‘ibaadat ko tark nahi karna chaahiye. Tahaarat ki ek numaayaan ‘alaamat hai jis se ‘Aurtein khoob pehchanti hain aur us se khaalis safedi ke naam se mausoom kiya jaata hai, Jab ‘Aurat us se dekh le to yeh is baat ki ‘alaamat hai ke muddat-e-haiz khatam aur muddat-e-tahaarat shur’u ho gai hai lehaaza us waqt ghusl kar ke Namaz’ Roza aur tilaawat-e-Qur’an jaisi ‘ibaadaat ko baja laana farz ho jaata hai.

__Shaikh Ibn-e-Jibreen__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents