Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

316. Kia Takbeer ke baad dua’a saabit hai?

Kia Takbeer ke baad dua’a saabit hai?

[Sawaal]

Namaz-e-Jumm’a ke ba’d Imaam Sahab ne farmaaya ke jab mu’azzin iqaamat ko mukammal padh le to tum koi aisi dua’a na padho jo Rasoolullah (ﷺ) se saabit na ho. kitaab-o-Sunnat mein waarid na ho aur jab mu’azzin iqaamat mein Allah ka zikr kare to tum bhi Allah ka zikr karo aur phir Imaam ke takbeer kehne tak khaamosh raho.Aaj hum Imaam Sahab ki un baaton ke muta’lliq aapas mein guftugu kar rahe hain aur umeed hai ke aap is silsila mein jald rehnumaai farmaaein ge taakeh hamein itminaan naseeb ho?

[Jawab]

Sunnat yeh hai ke iqaamat sunne waala bhi wahi kalimaat kahe’ Jo iqaamat kehne waala kehta hai kyunke yeh ek tarah se doosri azaan hai, Is ka bhi azaan ki tarah jawaab diya jaana chaahiye aur takbeer kehne waala jab (حی علی الصلاة) aur (حی علی الفلاح) kare to sunne waale ko us ke jawaab mein kehna chaahiye (لا حول ولا قوة الا بالله) Takbeer kehne waala jab الصلوة قد قامت kahe to us ke jawaab mein (قد قامت الصلوة) hi kehna chaahiye aur (أَقَامَهَا اللَّهُ وَآدَا مَهَا) nahi kehna chaahiye kyunke jis Hadees mein yeh alfaaz aae hain woh za’eef hai aur sahih Hadees se yeh saabit hai ke Rasoolullah (ﷺ) ne farmaaya ke:

إِذَا سَمِعْتُمُ الْمُؤَذِّنَ فَقُولُوا مِثْلَ مَا يَقُولُ

“Jab tum mu’azzin ko suno to usi tarah kaho jis tarah woh kehta hai.”

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab maa yaqaul izaa sam’a Al-munaadi, H: 611, -o- Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab Istahbab Al-qaul masal qaul Al-Mu’azzin liman sam’ahu. . . , H: 383).)

Yeh Irshaad azaan-o-iqaamat donon ke liye hai kyunke un dono mein se har ek ko azaan kaha jaata hai.Takbeer kehne waala jab ((لا اله الا اللہ)) kahe to us ke ba’d Nabi Kareem (ﷺ) ki Zaat-e-Giraami par Durood Shareef padhna chaahiye aur phir yeh dua’a:

اللَّهُمَّ رَبَّ هَذِهِ الدَّعْوَةِ التَّامَّةِ وَالصَّلوةِ الْقَائِمَةِ أَتِ مُحَمَّدًا الْوَسِيلَةَ وَالْفَضِيلَةَ وَابْعَثْهُ مَقَامًا مَّحْمُودًا الَّذِي وَعَدْتَهُ حَلَّتْ لَهُ شِفَاعَتِي يَوْمَ الْقِيَامَةِ

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab Al-dua’a ‘anad Al-Nida, H: 614, 4719)

padhe jis tarah azaan ke ba’d Durood Shareef aur yeh dua’a padhi jaati hai, Is ke ‘ilaawa iqaamat aur takbeer-e-tehreema ke darmiyaan koi zikr ya dua’a nahi, Jis ka padhna kisi sahih Hadees se saabit ho. Wa Billah Al-Toufeeq.

((وصلى الله على نبينا محمد وآله وصحبه وسلم))

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents