322. Jab munfarid iqaamat kehna bhool jaae
Jab munfarid iqaamat kehna bhool jaae
[Sawaal]
Jab koi shakhs akela Namaz padh raha ho, Woh takbeer kehna bhool jaae aur Namaz shur’u kar le to Kia us ki yeh Namaz mukammal ho gi ya us se dobaraah az sar-e-nau padhe?
[Jawab]
Jab koi shakhs munfarid Yaane mard ya ‘Aurat infiraadi taur par Namaz padh raha ho to us ke liye yeh hukm nahi ke woh iqaamat bhi kahe kyunke iqaamat to Namaz ba jama’at ke liye hoti hai aur us se maqsood Namaaziyon ko yeh ma’loom karwana hota hai ke jama’at khadi ho rahi hai lehaaza infiraadi taur par Namaz padhne waale ko is ki zaroorat hi nahi. iqaamat’ Namaz ke sharoot aur arkaan mein se bhi nahi hai lehaaza agar ba jama’at Namaz bhi azaan aur takbeer ke baghair padh li jaae to Namaz durust ho gi.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…