Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

333. Nafil padhne waalon ke peeche Farz padhna

Nafil padhne waalon ke peeche Farz padhna

[Sawaal]

Nafil padhne waale ki iqtida mein Farz padhne waale ki Namaz ke baare mein Kia hukm hai?

[Jawab]

Is baare mein hukm yeh hai ke yeh Namaz sahih ho gi. Hadees se saabit hai ke ba’az safron mein Nabi Kareem (ﷺ) ne Hazrat Sahaaba Karaam رضي الله عنهم ki ek jama’at ke saath Namaz-e-khauf ki do raka’at padhi aur phir aap ne doosri jama’at ko do raka’at padhaain to aap ki yeh doosri martaba ki do raka’at Namaz-e-Nafil thi.

Isi tarah Hazrat Mu’aaz رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se riwaayat hai ke “Woh apni Namaz-e-‘Isha ke Farz Nabi Kareem (ﷺ) ki iqtida mein adaa karte the aur phir apne muhalla mein jaa kar Ahl-e-muhalla ko ‘Isha ki Namaz padhaate aur Hazrat Mu’aaz رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ ki yeh Namaz-e-Nafil aur Ahl-e-mohala ki Farz hoti thi.”(2)

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

(1) Fazeelat-ul-Shaikh Hazrat Mufti Sahab ki yeh raae mazboot daleel par mabni nahi. Is liye ke Nabi (ﷺ) ne jo alfaaz Irshaad farmaae the, Woh the:

((الا تعد )) jis mein kai ahtemaal hain. Ek to wahi jis ka tazkirah Faazil Mufti Sahab ne farmaaya hai ke aaindah is tarah na karna. Aur doosra ahtemaal hai ((لا تغد))

“Daud kar na aana” aur teesra ahtemaal hai ke yeh ((لا تعدی)) ho, Yaane us raka’at ko shumaar na karna” Aur chawtha ahtemaal yeh hai ke ((الا تبعد)) Yaane tu Namaz na dohra teri Namaz durust hai. Aur usool yeh hai ke

((الاذا جاء الاحْتِمَالُ بَطَلَ الاستدلال))

“Jab ek se ziyaada ahtemaal hon, To us se istidlaal jaaiz nahi rehta.” Is liye mazkoora alfaaz se kisi ek mafhoom par istadlaal karna sahih nahi. Banabareen madark-e-Ruko’ ki raka’at ke sahih hone ka fatwa dena bhi ghair sahih hai. kyunke madark-e-Ruko’ ke do rukan Faut ho gae. Ek qayaam aur doosra qiraat-e-Fatiha aur Namaz ka ek rukan bhi Faut ho jaae, To woh raka’at nahi hoti. To phir do rukan Faut ho jaane ke bawajood us raka’at ka shumaar karna kio kar sahih ho ga?(S – Y)

(Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Azaan’ Baab izaa taul Al-Imaam-o-kaan lil rajal haajat-o-kharaj-o-sali’ H: 700′ 70′ 705′ 711′ 6106.)

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents