334. Faut shudah Namaazon ki qaza ka tareeqa
Faut shudah Namaazon ki qaza ka tareeqa
[Sawaal]
Mein hamesha Namaz padhta hoon lekin ba’az Farz Namaazein nahi padh saka aur ab har Namaz ke saath ek Namaz padh leta hoon. mere liye Kia tareeqa hai jis se mein Faut shudah Namaazon ko padh kar raahat haasil kar sakoon?
[Jawab]
Agar aap ne ba’az Namaazein kisi beemaari ya behoshi ke ‘uzr ki wajah se tark ki hain to jaldi se un ki qaza lein, Jab bhi aap ko faraaghat aur quwwat haasil ho hasb-e-nishaat mukhtalif Namaazein padh lein, Maslan Zuha ke waqt do ya us se ziyaada dino ki Namaazein ikhathi padh lein, Isi tarah Zuhr ke ba’d padh lein. Agar Namaazon ki tadaad ziyaada ho aur aap ne mehez susti ki wajah se na padhi hon to nawaafil kasrat se padhiye Faraaiz ki hifaazat kijiye Allah Ta’ala tumhare gunaah ma’af farma de ga.
__Shaikh Ibn-e-Jibreen__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…