337. Namaz mein Raf’a-ul-Yadeen ke maqaamaat
Namaz mein Raf’a-ul-Yadeen ke maqaamaat
[Sawaal]
Hamare shehar mein logon ki do Jama’atein hain, Un mein se ek Jama’at to apne tamaam aqwaal ke silsila mein Hadees shareef se istadlaal karti hai, Jab ke doosri Jama’at tamaam ‘ibaadaat mein Maaliki mazhab ki paabandi karti hai maslan kuch log khaas taur par nojawaan Ruko’ ko jaate aur Ruko’ se sar uthaate waqt raf’a-ul-yadeen karte hain aur Hadees-e-Nabwi Shareef se istadlaal karte hain jab ke doosre log raf’a-ul-yadeen nahi karte aur kehte hain ke Imaam Maalik رحمة الله ne raf’a-ul-yadeen nahi kiya to Kia tumhara ‘ilm Imaam daar-ul-hujrat ke ‘ilm ki tarah ho sakta hai? Is masla mein aap ki Kia raae hai?
[Jawab]
Musalmaan ke liye yeh waajib hai ke woh ahkaam-e-shar’iya ko un ke shar’an mu’tabir-o-dalaail Yaane Kitaab-o-Sunnat aur ijm’a aur un dalaail se jo un ke saath shaamil kar diye gae hain maslan qiyaas waghaira se ma’loom kare basharteke woh tehqeeq-o-ijtihaad ka Ahl ho aur agar khud is baat ka Ahl na ho to qaabil-e-e’itimaad Ahl-e-ilm se pooch le aur baghair ta’ssub ke kisi ek mujtahid ki taqleed kare.
Sunnat-e-Sahiha se saabit hai ke Nabi Kareem (ﷺ) Takbeer-e-Tehreema ke waqt Ruko’ ko jaate hue Ruko’ se sar uthaate hue aur teesri raka’at ke liye uthte hue Raf’a-ul-Yadeen farmaaya karte the.Lehaaza yeh jaaiz nahi ke Rasoolullah(ﷺ) ki Sunnat ke muqaabla mein kisi shakhs ke qawl ko pesh kiya jaae.
(Tafseel ke liye dekhiye: Sahih Bukhari’ Kitaab Al-Azaan baab fi Takbeerat-ul-aula ma’a al-Iftitah sawa’an H: 735′ 736′ 738-o-Sahih Muslim’ Kitaab Al-Salaat’ Baab Istahbaab Raf’a-ul-Yadeen Had-o-Al-Munkabeen’ H: 390-O-Sunan Abi Dawood’ Kitaab Al-Salaat’ Baab ba’d Iftitah Al-Salaat’ H: 744′ waghaira.)
((وصلى الله على نبينا محمد و آله وصحبه وسلم))
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…