338. Maghrib ki Namaz ko ‘Isha tak mu’akkhar karna
Maghrib ki Namaz ko ‘Isha tak mu’akkhar karna
[Sawaal]
Mujhe aur mere Ahl-o-‘ayaal ko pachaas kilometer door ek qareebi shehar mein ba’az zaroori ashya khareedne ke liye jaana padta hai. Maghrib ke waqt hum wapas lot’te hain aur traffic ke rash aur Maghrib ke waqt ki tangi ke baa’is hum ‘Isha ki Namaz ke waqt pohanchte hain Yaane Maghrib ka waqt khatam hone ke ba’d’ To Kia shehar ke door hone aur ‘Aurton ko laahaq hone waali mushaqqat ke pesh-e-nazar Maghrib ki Namaz ko is had tak mu’akkhar karna ke hum shehar pohanch jaaein jaaiz hai?
[Jawab]
Mazkoora haalat mein daf’a-e-mushaqqat ke pesh-e-nazar Maghrib ki Namaz ko is had tak mu’akkhar karna ke tum apne shehar pohanch jaao Jaaiz hai aur agar raasta mein baasaani Namaz-e-Maghrib bar waqt adaa karna mumkin ho to yeh afzal hai.
__Shaikh Ibn-e-Baaz__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…