Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

350. Haamla ‘Aurat salsala-e-bol mein mubtala ho to Kia Namaz tark kar de?

Haamla ‘Aurat salsala-e-bol mein mubtala ho to Kia Namaz tark kar de?

[Sawaal]

Ek haamla ‘Aurat ke hamal ka yeh nawaan mahina hai lekin har waqt us ka Peshaab jaari rehta hai, Jis ki wajah se woh hamal ke is aakhri mahina mein Namaz padhne se ruk gai hai. Kia yeh ‘Aurat Namaz tark kar sakti hai? us se Kia karna chaahiye?

[Jawab]

Us mazkoora ‘Aurat ya us jaisi ‘Aurton ko Namaz chodni nahi chaahiye balkeh waajib yeh hai ke woh hasb-e-haal hi Namaz adaa kar lein. Yeh mustahaaza ki tarah har Namaz ke liye uske waqt mein Wuzu karen aur rooi waghaira ke saath jis qadar Peshaab se bach sakti hon bachen aur Namaz ko uske waqt par adaa karen,

Waqt mein nawaafil padhne ki bhi ijaazat hai, Yeh ‘Aurat-e-mustahaaza ki tarah Zuhr-o-‘Asar aur Maghrib-o-‘Isha ki Namaazon ko jam’a kar ke bhi adaa kar sakti hai, Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

فَاتَّقُوا اللّٰهَ مَا اسۡتَطَعۡتُمۡ

(Al-Taghabeen 6416)

“So jahan tak ho sake tum Allah se darte raho.”

Us ‘Aurat ne jis qadar Namaazein chodi hain un ki qaza dena ho gi. Allah Ta’ala ki bargaah mein tawbah bhi karni chaahiye ke jo kotaahi hoi us par nadaamat ka izhaar kiya jaae aur yeh ‘azam kiya jaae ke aainda aisi koatahi nahi ki jaae gi Irshaad-e-Baari Ta’ala hai:

وَتُوۡبُوۡۤا اِلَى اللّٰهِ جَمِيۡعًا اَيُّهَ الۡمُؤۡمِنُوۡنَ لَعَلَّكُمۡ تُفۡلِحُوۡنَ

(Al-Noor 24 31)

“Aur Momino! Tum sab Allah ke aage tawbah karo taa ke falaah paao.”

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents