360. Namazi ke aage se guzarna Haraam hai
Namazi ke aage se guzarna Haraam hai
[Sawaal]
Kia maslihat-e-‘aama maslan Masjid waghaira ya infiraadi zaroorat ke liye sadaqaat ka sawaal karne waale ke liye Namaaziyon ke aage se guzarna jaaiz hai ya nahi?
[Jawab]
Namaaziyon ke aage se guzarna Haraam hai, Khuwah woh yeh Islami sakeemon maslan Masaajid ke banaane ya un ki marammat karne ya un mein qaleen waghaira daalne ke liye sadqaat jam’a karne ke liye ho. Is tarah ke f’el-e-khair ke liye qayaam Namaaziyon ke aage se guzarne ka jawaaz nahi ban sakta kyunke Hazrat Abu Jaheem رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ se marwi Nabi(ﷺ) ki is Hadees ke ‘umoom ka yehi taqaaza hai ke:
لَوْ يَعْلَمُ الْمَارُ بَيْنَ يَدَيِ الْمُصَلِّي مَاذَا عَلَيْهِ لَكَانَ أَنْ يَقِفَ أَرْبَعِينَ خَيْرًا لَهُ مِنْ أَنْ يَمُرَّ بَيْنَ يَدَيْهِ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Salaat, Baab mana’ Al-Maar bain yadi Al-Musali, H: 510,)
-O-Sahih Muslim, Kitaab Al-Salaat, Baab min Al-Maar bain yadi Al-Musali, H: 507)
“Agar Namazi ke aage se guzarne waale ko yeh ‘ilm ho ke us se kis qadar gunaah ho ga to chaalees tak khada rehna us ke liye Namazi ke aage se guzarne se behtar hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…