Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

368. Farz adaa karne ke ba’d doosron ki Imaamat

Farz adaa karne ke ba’d doosron ki Imaamat

[Sawaal]

Jis shakhs ne khud Farz Namaz adaa kar li ho to Kia woh Farz Namaz doosron ko padha sakta hai?

[Jawab]

Is ke jawaaz mein Ahl-e-ilm mein ikhtilaaf hai lekin hamein bazaahir yoon ma’loom hota hai ke jis shakhs ne khud Farz Namaz adaa kar li ho us ki iqtida mein Farz Namaz adaa ki jaa sakti hai. Yaane Nafil padhne waale ki iqtida mein Farz Namaz adaa ki jaa sakti hai, kyunke:

الأَنَّ مُعَاذَا رَضِيَ اللهُ عَنْهُ كَانَ يُصَلِّي مَعَ النَّبِيِّ ، ثُمَّ يَرْجِعُ فَيُصَلِّي بِقَوْمِهِ تِلْكَ الصلاة

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab izaa taul Al-Imaam-o-kaan lirajal haajat fa fakhraj-o-sali, H: 700)

“Hazrat Ma’aaz رَضِيَ اللَّهُ عَنْهُ pehle Farz Namaz Nabi (ﷺ) ki iqtida mein adaa karte the aur phir apni qaum ko wahi Namaz padhaate the.”

Isi tarah Sunan Abi Dawood mein riwaayat hai ke:

أَنَّ النَّبِيِّ ، صَلَّى بِطَائِفَةٌ مِنْ أَصْحَابِهِ فِي صَلَاةِ الْخَوْفِ رَكْعَتَيْنِ، ثُمَّ سَلَّمَ،

>

سَلَّمَ ثُمَّ صَلَّى بِالطَّائِفَةِ الأُخْرَى رَكْعَتَيْنِ ثُمَّ

(Sunan Abi Dawood, Kitaab Salaat Al-Safar, Baab min qaal yusali bikul ta’aifat raka’at sum yasalam . . . , H: 1244)

“Nabi Kareem (ﷺ) ne Sahaaba Karaam رضي الله عنهم ki ek jama’at ko Namaz-e-Khauf ki do raka’at padhein aur phir salaam pher diya. phir doosri jamaat ko bhi do rakat parhai aur salaam phair diya.”(1)

(1) ‘Allama Tahawi ne is Hadees ke baare mein jo yeh da’wa kiya hai ke yeh Hadees mansookh hai to yeh da’wa na qaabil-e-qubool hai kyunke yeh da’wa bilaa daleel hai. ‘Allama Sindhi farmaate hain ke is Hadees se qat’i taur par yeh baat ma’loom hoti hai ke Nafil padhne waale ki iqtida mein Farz Namaz adaa ki jaa sakti hai aur mukhalifeen ke paas iska koi shaafi jawaab nahi hai. (‘Aun Al-Ma’abood’ Jild: 4′ Safha: 90)

Imaam Ahmad رحمة الله se bhi ek qawl yehi marwi hai ke Nafil padhne waale ki iqtida mein Farz padhna jaaiz hai aur ‘ataa’ Auzaa’i’ Shaaf’i’ Abu Saur aur Ibn-e-Al-Manzir ka bhi yehi qawl hai. (Wallahu A’lam)

__Fatwa-e-committee__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents