Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

370. Taraweeh padhne waale Imaam ki iqtida mein Namaz-e-‘Isha

Taraweeh padhne waale Imaam ki iqtida mein Namaz-e-‘Isha

[Sawaal]

Ek shakhs Masjid mein us waqt pohancha jab log Namaz-e-Taraweeh adaa kar rahe the aur us se is baat ka ‘ilm bhi tha to Kia woh us Imaam ki iqtida mein ‘Isha ki niyyat kar ke Namaz-e-‘Isha adaa kar sakta hai ya woh akela Namaz padhe?

[Jawab]

‘Ulama ke sahih qawl ke mutaabiq is soorat mein ‘Isha ki niyyat kar ke Namaz-e-Taraaweeh padhaane waale Imaam ki iqtida mein Namaz-e-‘Isha padhne mein koi harj nahi aur jab Imaam salaam pher de to us se apni baaqi Namaz mukammal karna ho gi. Is ki daleel sahiheen ki yeh Hadees hai ke:

أَنَّهُ كَانَ يُصَلِّي مَعَ النَّبِيِّ ، صَلَاةَ الْعِشَاءِ ثُمَّ يَرْجِعُ إِلَى قَوْمِهِ فَيُصَلِّي بِهِمْ تِلْكَ الصلاة

(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab izaa taul Al-Imaam-o-Kan lilrajal haajat fakharaj-o-Sali, H: 700)

“Hazrat Ma’az-Bin-Jabal رضی اللہ عنہ Namaz-e-‘Isha Rasoolullah (ﷺ) ki iqtida mein adaa farmaaya karte the aur phir apni qaum mein wapas aakar unhein yehi Namaz padhaaya karte the.”

aur Nabi Kareem (ﷺ) ka unhein is se mana’ na farmana is baat ki daleel hai ke Farz padhne waale ki Namaz Nafil padhne waale ki iqtida mein jaaiz hai. Aur sahih Hadees mein hai ke Nabi Kareem (ﷺ) ne ek daf’a salwaat-e-khauf ki pehle ek jama’at ko do raka’at padhein aur phir doosri jama’at ko do raka’at padhein, Nabi(ﷺ)pehli do raka’at Farz aur doosri do raka’at Nafil thin jab ke doosri jama’at ki yeh Namaz Farz thi. Wallahu waali Al-Toufeeq

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents