373. Nafil padhne waale ki iqtida mein Farz padhna
Nafil padhne waale ki iqtida mein Farz padhna
[Sawaal]
Nafil padhne waale ki Farz padhne waale ke liye Imaamat ka Kia hukm hai? Maslan ek aadmi Nafil Namaz padh raha tha ke ek shakhs aaya aur woh yeh samajhte hue us ke saath Namaz mein shareek ho gaya ke yeh Farz padh raha hai aur jab us se ma’loom hoa ke us ka khayaal durust na tha to us ne Namaz dobaraah padhi To Kia us ki pehli Namaz sahih ho gi ya doosri?
[Jawab]
Hazrat Ma’az رضی اللہ عنہ ka mashoor waqiy’a hai ke:
كَانَ يُصَلِّي مَعَ النَّبِيِّ ، صَلَاةَ الْعِشَاءِ ثُمَّ يَرْجِعُ فَيُصَلِّي بِقَوْمِهِ تِلْكَ الصَّلَاةَ
(Sahih Bukhari, Kitaab Al-Azaan, Baab izaa tual Al-Imaam-o-kana lilrajal haajat fakharaj-o-salli, H: 700)
“Woh Namaz-e-‘Isha Nabi (ﷺ) ki iqtida mein adaa kiya karte the aur phir apni qaum ke paas jaa kar yehi Namaz un ko khud padhaate the.”
Isi tarah:
وَصَلَّى النَّبِيُّ ، بِطَائِفَةٍ مِنْ أَصْحَابِهِ فِي صَلَاةِ الْخَوْفِ رَكْعَتَيْنِ، ثُمَّ سَلَّمَ بِهِمْ، ثُمَّ صَلَّى بِالطَّائِفَةِ الأُخْرَى رَكْعَتَيْنِ ثُمَّ سَلَّمَ بِهِمْ
(Sunan Abi Dawood, Kitaab Salaat Al-Safar, Baab mun qaul Al-Yusalli bikul ta’aifat raka’at suma . . , H: 1244)
Nabi Kareem (ﷺ) ne Sahaaba Karaam رضی اللہ عنہم ki ek jama’at ko Namaz-e-Khauf ki do raka’at padhein aur salaam pher diya aur phir doosri jama’at ko do raka’at padhein aur salaam pher diya.”
Aap (ﷺ) ki doosri do raka’at Nafil thin.
To un Ahadees se ma’loom hota hai ke Farz padhne waala Nafil padhne waale ki iqtida mein Namaz adaa kar sakta hai.
__Fatwa-e-committee__
English translation coming soon…
Urdu translation coming soon…