Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

379. Masbooq ke hawaala se zaaid Namaz ka hukm

Masbooq ke hawaala se zaaid Namaz ka hukm

[Sawaal]

Jab musalmaan Masjid mein aae Imaam Namaz-e-Zuhr padha raha ho aur yeh doosri raka’at mein aakar mila ho lekin Imaam bhool jaae aur chaar ki bajaae paanch raka’atein padha de to Kia yeh us raka’at ko padhe ga jo Faut ho gai thi aur Imaam ke saath sajdah-e-Sahav kare ga? Baraah-e-Karaam is masla ki wazaahat farma dijye Allah Ta’ala aap ko jaza-e-khair se nawaaze!

[Jawab]

Is masla mein Ahl-e-ilm mein ikhtilaaf hai. Kuch yeh kehte hain ke yeh zaaid raka’at masbooq ke liye kaafi ho gi aur kuch yeh kehte hain ke yeh kaafi na ho gi aur sahih baat bhi yehi hai ke yeh kaafi na ho gi kyunke us se Faut shudah Namaz ki qaza-e-salaam ke ba’d dena hoti hai lehaaza jab Imaam salaam pher de to us se Faut shudah Namaz ko poora karna chaahiye, us se zaaid Namaz mein Imaam ki mutaabi’at bhi nahi karni chaahiye balkeh Imaam ke salaam pherne tak yeh betha rahe aur jab Imaam salaam phere to yeh khada ho kar Faut shudah Namaz ko poora kare. Muqtadiyon ko bhi chaahiye ke woh zaaid Namaz mein Imaam ki mutaabi’at na karen balkeh unhein Imaam ko mutanabba karna chaahiye, Agar Imaam mutanabba ho jaae to durust hai warna intezaar karen aur agar unhein ma’loom ho ke yeh zaaid padh raha hai to us ki mutaabi’at na karen lekin jis shakhs ko shar’i hukm ka ‘ilm na ho ya yeh ‘ilm na ho ke yeh zaaid Namaz hai to us ki Namaz sahih ho gi. Masbooq ko chaahiye ke jab Imaam sajdah-e-Sahav kare to woh bhi Imaam ke saath sajdah-e-Sahav kare aur phir jab Imaam salaam pher de to yeh khada ho kar apni baaqi Namaz ko poora kare. waala waali Al-Toufeeq

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents