Skip to main content
Sections
< All Topics
Print

381. Namaz mein waswase

Namaz mein waswase

[Sawaal]

Meri mushkil yeh hai ke mein jab Masjid mein daakhil hota hoon aur qibla-e-rukh ho kar Namaz ke liye takbeer-e-Tehreema kehta hoon to mujhe shak guzarta hai ke shaayad main ne takbeer-e-Tehreema kahi hai ya nahi lehaaza mein dobaraah takbeer kehta hoon Us ke ba’d Surah Fatiha padhta hoon to us mein bhool jaata hoon aur us se dobaraah az sar-e-nau padhna shur’u kar deta hoon Khaas taur par jab Imaam ke saath Namaz adaa karta hoon to yeh soorat pesh aati hai. Kia is haalat mein meri Namaz sahih hai? Nez-e-Sahav se bachne ke liye mujhe Kia karna chaahiye?

Meri rehnumaai farmaaiye. Allah Ta’ala aap ko ajar-o-sawaab se nawaaze.

[Jawab]

Mazkoora haalat mein Namaz sahih hai lekin aap ko in waswason se parhaiz karna chaahiye aur woh is tarah ke aap Namaz padhte hue Allah Ta’ala ki taraf mutawajjah hon, Us ki ‘azmat ko madd-e-nazar rakhen aur dili tawajjuh ke saath Namaz adaa karen Nez” اعوذ باللہ من الشيطان الرجیم ” padh liya karen is se (In sha Allah Ta’ala) waswase door ho jaaein ge, Shaitaan zaleel-o-khuwaar ho ga aur Allah Ta’ala khush ho jaae ga.

__Shaikh Ibn-e-Baaz__

English translation coming soon…

Urdu translation coming soon…

Table of Contents